Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Aa Meri Ankho Ki Gehrayi Me
4.25 - 12 votes
Romantic Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Aa Meri Ankho Ki Gehrayi Me - आ मेरी आँखों की गहराई में
aa meri ankho ki gehrayi me aa kar dhub ja
agar tamanna hai khushi ki muskura kar dub ja
abhi jindagi ke sahare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
mai kyu dub jau kinare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai

kisi manchale ka bharam todne ko
machalti hawao rukh modne ko
humari najar ke ishare bahut hai
kisi manchale ka bharam todne ko
machalti hawao rukh modne ko
humari najar ke ishare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai

tumhari adao ko pechanta hu
tumhari adao ko pechanta hu
tumhe tumse behtar to mai janta hu
nigahe salamat najaare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai

yahi dekh lo agar na tumko yakin ho
humari najro me tumhi to nahi ho
yahi dekh lo agar na tumko yakin ho
humari najro me tumhi to nahi ho
isi anjuman me humare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai

andhera hai lekin mujhe gam nahi hai
andhera hai lekin mujhe gam nahi hai
ke ummid ki roshani kam nahi hai
mere aasman par sitare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
mai kyu dub jau kinare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
abhi jindagi ke sahare bahut hai
lyrics of song Aa Meri Ankho Ki Gehrayi Me
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Pyar Ka Bandhan (1963)
Raj Kumar, Nishi, Naaz, Helen, DhumalMohammed Rafi, S Balbir, Asha Bhosle, Mahendra KapoorNaqsh Lyallpuri, Qamar Jalalabadi, Sahir LudhianviRaviNaresh SaigalPyar Ka Bandhan at IMDB      Pyar Ka Bandhan at YouTube     |    Pyar Ka Bandhan at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type