Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.60 - 5 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Aaj Hum Tumhein Sunanewaale Hain Ek Shahjaade Ki Kahaani - आज हम तुम्हें सुनानेवाले हैं एक शहजादे की कहानी
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
aji aise jaal me fansa bichara yaad aa gayi nani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
ha ha shahjade ki kahani

rahti thi ek bholi ladki rajkumar ke sath
ha ha rajkumar ke sath
aji dono me tha mel bada
hilmil karte the baat
ha ha hilmil karte baat
ae ji ladki man hi man me sochti
banungi ek din rani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
ha ha shahjade ki kahani

aji rajkumar shikar ko nikla ek din kar taiyari
ha ha ek din kar taiyari
ae ji mili waha par use ek pariyo ki rajkumari
ha ha pariyo ki rajkumari
aji ghulmil gaye aapas me jaise
ho pahchan purani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
ha ha shahjade ki kahani

kismat ka tha khel bichhad gayi pariyo ki shahjadi
ha ha pariyo ki shahjadi
are rajkumar ko karni padi bholi ladki se shadi
ha ha us ladki se shadi
ae ji sukhi na tha phir bhi thi
usko jag ki reet nibhani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
ha ha shahjade ki kahani

aji jeet liya sewa se us ladki ne rajkumar
ha ha ladki ne rajkumar
ae ji bhul gaya pariyo ki shahjadi wo ek baar
ha ha shahjadi ek baar
aji aayi khushi mahal me
ho gayi kaali raat suhani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
ha ha shahjade ki kahani

jind ko dhundhn pari aa gayi rajkumar se milne
ha ha rajkumar se milne
aur jane kya kya socha us din rajkumar ke dil ne
ha ha rajkumar ke dil ne
ae ji ab kya hoga kaun bataye
kismat kisne jani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
aji aise jaal me fansa bichara yaad aa gayi nani
aaj hum tumhe sunanewale hai
ek shahjade ki kahani
ha ha shahjade ki kahani
lyrics of song Aaj Hum Tumhein Sunanewaale Hain Ek Shahjaade Ki Kahaani
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Anuraag (1956)
Mukesh, Usha Kiran, Mridula, Pratima Devi, Uma DeviLata Mangeshkar, Manna Dey, Shamshad Begum, Madhubala Zaveri, MukeshIndeevar, Kaif IrfaniMukeshMadhusadanAnuraag at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type