aaj shishe mein bar bar unhe dil ki surat dikhayi deti hai
apni surat najar nahi aati meri surat dikhayi deti hai
dil mein ek jane tamanna ne jagah payi hai
aaj gulshan mein nahi ghar mein bahar aayi hai
aa gaya aa gaya mere tasavvur mein koi pardanashin
aa gaya aa gaya mere tasavvur mein koi pardanashin
aaj har chiz najar aati hai mujhko hasin
kya karu main badi dilkash meri tanhayi hai
aaj gulshan mein nahi ghar mein bahar aayi hai
behki behki nasha-e-husn mein khoyi khoyi
jaise khyalo ki rangin rubayi koi
dil ke shishe mein pari ban ke utar aayi hai
aaj gulshan mein nahi ghar mein bahar aayi hai
husn ke samane ijhahar-e-wafa hai mushkil
husn ke samane ijhahar-e-wafa hai mushkil
kash chhup kar hi wo sun le mera nala-e-dil
jisne pyar ki manjil mujhe dikhalayi hai
aaj gulshan mein nahi ghar mein bahar aayi hai