Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.43 - 7 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Aakhri Baar Tere Husn Ko - आखरी बार तेरे हुस्न को
aap gairo ki baat karte hai
humne apne bhi aazmayen hai
log kaanton se bachke chalte hai
humne phulon se zakhm khaye hai

aakhri baar tere husan ko sajda kar lun
fir nahi laut ke mehfil mein teri aaunga
jis mohabbat mein milawat ho sone chaandi ki
us mohabbat ko main tukhrake chala jaaunga

mujhko maalum na tha aaj bhari mehfil mein
ek aansu ki tarah mujhko yun girna hoga
aoni nakaam mohabbat ka janaza lekar
tere kaanton ke shehar mein mujhe chalna hoga
apni humdardiyon ke yun na uchalo patthar
aaina banke jo tuta to na judh paaunga haye
jis mohabbat mein milawat ho sone chaandi ki
us mohabbat ko main tukhrake chala jaaunga

isse pehle ke tu kuche se nikale mujhko
meri khamoshiyon ka naam tu zafa rakh de
meri majbooriyon ko meri khata keh kar tu
apni naadaniyon ka naam tu vafa rakh de
jina dushvar to hoga tere bin par sun le
apni aankhon mein kabhi ashk nahi launga haye
jis mohabbat mein milawat ho sone chaandi ki
us mohabbat ko main tukhrake chala jaaunga
chala jaaunga chala jaaunga
lyrics of song Aakhri Baar Tere Husn Ko
Comments on song "Aakhri Baar Tere Husn Ko"
Manoj Kureel on Thursday, May 14, 2009
i was listen this rare song some 20 yr back when i was in school.and i m
able to find this now.poetry of this nazm is marvolous...!!!after so many
years i still remmember its all antaras because of its touching
lines...althogh i was not remmember its mukhda.i got to know today that
this one written by Maya Govind.and offcourse Anup Jalota's voice is too
touching...thanks for uploding this jem. -MANOJ KUREEL
Faisal Khan on Sunday, April 25, 2010
Very Nice Ghazal Dost kya bat hain ak ak Lafz dil k kareeb tar ,, Bas itna
he kahon ga dost, Tu wo Zalim hai jo DiL Main Reh kar bhi Mera Na Ban Saka
Aur DiL wo Kaafir Hai Jo Mujh Main Reh kar bhi Tera ho Gaya,
2310naz on Friday, March 23, 2012
aap gheron ki baath karthe ho hum ne apne bi aazmaaye hai log kaanto se
bach kar chalte hai hum ne poolon se zakhm khaye hai wow absalutly superb
and so true
Baljeet Singh on Friday, June 20, 2014
Ajay sir plz upload origional Ghazal. akhri baar tere pyaar ki kaliyann
choon lout kar fir tere gulshan me nahi ayunga!!!
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Patton Ki Baazi (1986)
Rajan Sippy, Khushboo, Bharat Kapoor, Vinod Mehra, Rajesh Puri, Jayashree GadkarAnup Jalota, Asha Bhosle, Udit Narayan, Kishore KumarMaya GovindAnup JalotaRam GovindAmarlal P ChabriaPatton Ki Baazi at IMDB      Patton Ki Baazi at WikipediaPatton Ki Baazi at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type