Video of this song from youtube
Aankho Me Aa Ja Dil Me Sama Ja - आँखों में आ जा दिल में समा जा
Singer Music by Lyricist ActorMadhubala Category Movie
Lyrics of Aankho Me Aa Ja Dil Me Sama Ja - आँखों में आ जा दिल में समा जा
aankho me aa ja dil me sama ja
meri kahani sun ja apni suna ja
meri kahani sun ja apni suna ja
aankho me aa ja dil me sama ja

bigadi hai kismat jivan hai phika
jivan hai phika
aa tujhse kah du dukh apne ji kaa
aa tujhse kah du dukh apne ji kaa
o dam bhar ko aa ke meri bigdi bana ja
aankho me aa ja dil me sama ja
meri kahani sun ja apni suna ja
aankho me aa ja dil me sama ja

iss dil ko duniya tadapa rahi hai
tadapa rahi hai
aise me teri yad aa rahi hai
aise me teri yad aa rahi hai
o aa aur aa ke mujhe ghum sey chhuda ja
aankho me aa ja dil me sama ja
meri kahani sun ja apni suna ja
aankho me aa ja dil me sama ja

chhod e naa duniya divana kar ke
divana kar ke
jina bhi koyi jina hai mar ke
jina bhi koyi jina hai mar ke
o hay mai kaise jiyu ye toh bata ja
aankho me aa ja dil me sama ja
meri kahani sun ja apni suna ja
aankho me aa ja dil me sama ja
lyrics of song Aankho Me Aa Ja Dil Me Sama Ja
Comments on song "Aankho Me Aa Ja Dil Me Sama Ja"
nasratkha on Sunday, May 31, 2009
beautiful songgggggggggg
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films