agar mujh se muhabbat hai mujhe sab apne gham de do
in aankho ka har ik aansu mujhe meri qasam de do
agar mujh se muhabbat hai
tumhare gham ko apna gham bana lu to karar aaye
tumhara dard sine me chhupa lu to karar aaye
woh har shay jo tumhe dukh de mujhe mere sanam de do
agar mujh se muhabbat hai
sharik-e-zindagi ko kyun sharik-e-gam nahi karte
dukho ko bant kar kyun in dukho ko kam nahi karte
tadap is dil ki thodi si mujhe mere sanam de do
agar mujh se muhabbat hai
in aankho me na chhupana kabhi aansu najar aaye
sada has ke rahe aankhe sada ye honth muskaye
mujhe apni sabhi aahe sabhi dard-o-alam de do
agar mujh se muhabbat hai mujhe sab apne gham de do
in aankho ka har ik aansu mujhe meri qasam de do
agar mujh se muhabbat hai
Raja Mehndi Ali Khan Sahab has beautifully penned this song. All the songs
composed by him and Madan Mohan Sahab Whether it is of Anpadh, Aap ki
parchaya, neel Aakash, Wo kaun Thi or many more are treasure for listerners
like us. Na Aasma Na Sitare Fareb Dete Hain, Hame Tho Apne Sahare Fareb
Dete Hain, Raja Mehndi Ali Khan Sahab.. Kabhi Majhi Ne Saath Choda Hai
Bhawar may, Kabhi Kinare Fareb Dete Hain. Me.