Video of this song from youtube
Average Rating : 4.53
Total Vote(s) : 36
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.


Lyrics of Aisi Chiz Sunaye Kee ( Jina To Hai Usika Jisne Ye Raaz Jana) - ऐसी चीज़ सुनाये की (जीना तो है उसीका जिसने ये राज जाना)
aisi chiz sunaye ki mehfil de tali pe tali
varna apna nam nahi banne khan bhopali
munne miya badhayi bano khub honhaar
dono jahan ki nemate ho aap pe nisaar
ha bachapan ho kushgavar jawani sadabahar
allah kare ye din aaye hajar baar

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
are jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
ha jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
hai kaam admi ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

kisi ne kaha tu hai taro ka raja
kisi ne kaha aaja mere paas aaja
kisi ne dua di kisi ne badhayi
sabki ankho ka tu tara bane
teri hi roshani me chamke tera gharana
hai kaam admi ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

dil lagakar tu padhna, hamesha aage badhna
sach ka daman na chhute, chahe ye duniya ruthe
kam tu achha karna, sirf allah se darna
sabhi ko gale lagana, mohabbat me lut jana

mohabbat wo khajana hai kabhi jo kam nahi hota
hai jiske paas daulat use kuchh gam nahi hota
hai jiske paas daulat use kuchh gam nahi hota
mera tera karke jo marte, gore kaale me bhed karte
unko ye samajhana
sab log hain barabar, itna na bhul jaana
hai kaam admi ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

surat pe masha allah, wo baat hai abhi se
tadapenge dil hajaro, gujroge jis gali se
doli me jab bithakar, laoge phuljhadi ko
jinda rahe to ham bhi, dekhenge us ghadi ko
agar allah ne chaha, to ham us din bhi ayenge
badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge
agar allah ne chaha, to ham us din bhi ayenge
badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge
badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge
chand-suraj bhi ayenge niche
dulha-dulhan ke aage pichhe, phul barsaayenge
aayega jab khushi ka hansta huaa jamana
hai kaam adami ka
hai kaam admi ka, auro ke kaam aana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana
lyrics of song Aisi Chiz Sunaye Kee ( Jina To Hai Usika Jisne Ye Raaz Jana)
Comments on song "Aisi Chiz Sunaye Kee ( Jina To Hai Usika Jisne Ye Raaz Jana)"
spsyed on Saturday, July 31, 2010
Rafi sahib passed away 30 years ago (31 July 1980), but his legend lives on as his voice still continues to entertain and amaze millions around the world. No one replaced humble, modest and pious Rafi sahib. He changed Indian film playback and music industry forever. He is a book on how to sing. His playback voice changed the fate of most Indian film actors, and made them superstars of their time. I am honoured to have met him, be his family's neighbour in London-UK. RIP Mohammed Rafi.
vidyakarelia on Wednesday, April 22, 2009
This song is sort of a happy birthday to you qawwali. That way, it is
different from the filmi qawwalis that typically have husn and ishq as
their topic. Lyrics have been written by a little known lyricist called
Ramesh Pant. Aisi cheez sunayen ke mehfil de taali pe taali warna apna nam
nahin hai Banne Khan Bhopali munne miyan badhai bano khoob honhar donon
jahan ki nematen hon aap pe nisar han bachpan ho khushgawar jawani
sadabahaar Allah kare ye din yun hi aaye hazar baar
vidyakarelia on Wednesday, April 22, 2009
dil lagake tu padhna hamesha aage badhna sach ka daman na chhoote chahe yeh
duniyaa roothe kaam tu achche karna sirf Allah se darnaa sabhi ko gale
lagana mohabbat mein lut jana mohabbat wo khazana hai kabhi jo kam nahin
hota hai jiske paas yeh daulat use kuchh gham nahin hota mera-tera karke jo
marte gore kale me bhed karte unko ye samjhana sab log hain barabar itna na
bhool jana hai kaam aadmi kaa auron ke kaam aana jeenaa to hai usi kaa
jisne ye raaz jana
vidyakarelia on Wednesday, April 22, 2009
soorat pe masha Allaah wo baat hai abhi se tadpenge dil hazaron guzroge jis
gali se doli mein jab bithake laoge phuljhadi ko zindaa rahe to ham bhi
dekhenge us ghadi ko agar Allah ne chaaha to ham us din bhi aayenge badhai
hamne gaayi hai to ham sehraa bhi gaayenge chand-sooraj aayenge neeche
dulhaa-dulhan ke aage peechhe phool barsaayenge aayega jab khushi ka hansta
hua zamana hai kaam aadmi kaa auron ke kaam aana jeenaa to hai usi kaa
jisne ye raaz jana
vidyakarelia on Wednesday, April 22, 2009
are jeenaa to hai usi kaa jisne ye raaz jaanaa hai kaam aadmi kaa auron ke
kaam aanaa kisi ne kahaa tu hai taaron kaa Raajaa kisi ne kahaa aa ja mere
paas aa ja kisi ne duaa di kisi ne badhaai sabki tu aankh ka taaraa bane
teri hi roshni mein chamke tera gharana hai kaam aadmi kaa auron ke kaam
aana jeenaa to hai usi kaa jisne ye raaz jaana
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Adhikar (1971)
Deb Mukherjee, Nanda, Pran, Ashok Kumar, Shammi, Baby Tabassum, Helen, Nazima, Raj Mehra, Indu Shivraj, Brahmachari, Ratna Mala, Ratan Mala, Roopali, Shyam, Khursheed, Alka, Rajnish, Kundan, Kumud Tripathi, Indira Bansal, Lata Arora, Polsan, Narang, Majnu, Manik Dutt, Amir AliAsha Bhosle, Kishore Kumar, Manna Dey, Mohammed RafiRamesh PantR D BurmanS M SagarNoorAdhikar at IMDB      Adhikar at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala

HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type