Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.14 - 7 votes
Ghazals
Video of this song from youtube
Lyrics of Apna Gham Leke Kahi Aur Na Jaya Jaye - अपना ग़म लेके कहीं और ना जाया जाए
apna gham leke kahin aur na jaaya jaye
apna gham leke kahin aur na jaaya jaye
ghar mein bikhri hui cheezo ko sajaaya jaye
apna gham leke kahin aur na jaaya jaye

jin chirago ko hawao ka koi khauf nahin
jin chirago ko hawao ka koi khauf nahin
un chirago ko hawao se bachaya jaye
un chirago ko hawao se bachaya jaye
ghar mein bikhri hui cheezo ko sajaaya jaye
apna gham leke kahin aur na jaaya jaye

baag mein jaane ke aadaab hua karte hain
baag mein jaane ke aadaab hua karte hain
kisi titli ko na phulo se udaya jaye
kisi titli ko na phulo se udaya jaye

ghar se masjid hai bahut door chalo yu kar le
ghar se masjid hai bahut door chalo yu kar le
kisi rote huye bacche ko hansaya jaye
kisi rote huye bacche ko hansaya jaye
ghar mein bikhri hui cheezo ko sajaaya jaye
apna gham leke kahin aur na jaaya jaye
lyrics of song Apna Gham Leke Kahi Aur Na Jaya Jaye
Comments on song "Apna Gham Leke Kahi Aur Na Jaya Jaye"
shUmMEe zahoor on Sunday, June 24, 2012
jin charaghon ko hawayon ka koyi khof nahin un charaghon ko hawayon se
bachaya jayey ... muah
SUDIPTO BOSE on Friday, February 08, 2013
what a heart touching rendition by jagjitji,lyrics too is top order.sheer
listening pleasure.
nawabsaeed44 on Saturday, December 10, 2011
one of the melodiously meaningful songs by janab jagjit singh but sadly
uncaught by many
Devendra Saini on Monday, February 04, 2013
jab ghar ki deeware khane ko daudti hai tab main kuch aisi hi gazal sun na
chahta hia
Manish Bhate on Friday, July 12, 2013
Lyrics : Nida Fazali , beautiful comparisons & words , great voice culture
by Jagjit
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Insight (Jagjit Singh) (1994)
Jagjit SinghNida Fazli
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type