Video of this song from youtube
Babul Ka Ghar Chhoda Saajan - बाबुल का घर छोड़ा साजन
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Babul Ka Ghar Chhoda Saajan - बाबुल का घर छोड़ा साजन
babul ka ghar chhoda
sajan sang joda
ye nata janam janam ka
babul ka ghar chhoda
sajan sang joda
ye nata janam janam ka
piya ke charno me rahna
sabhi kuch sahna
ye nata janam janam ka

ghunghat ki tu laaj nibhana
ek naya ghar jake basana
ghunghat ki tu laaj nibhana
ek naya ghar jake basana
wahi teri duniya
wahi hai thikana
o wahi hai thikana
chahe sakal jage chhute
kabhi na sakhi tute
ye nata janam janam ka
babul ka ghar chhoda
sajan sang joda
ye nata janam janam ka

nayi naveli dulhan pyari
le ja duaye sath humari
nayi naveli dulhan pyari
le ja duaye sath humari
phule phale ri teri phulwari
ho teri phulwari
baandhi hai preet ki dori
sajan sang gauri
ye nata janam janam ka
babul ka ghar chhoda
sajan sang joda
ye nata janam janam ka

sau dukh aaye ek na kahna
hanste hanste sab gham sahna
sau dukh aaye ek na kahna
hanste hanste sab gham sahna
yahi hai singaar tera
yahi tera gahna
ho yahi tera gahna
aanchal me aansu chhupana
kabhi na ghabrana
sajan sang gauri
ye nata janam janam ka
babul ka ghar chhoda
sajan sang joda
ye nata janam janam ka

sita sati ka maan hai tujh me
savitri ki aan hai tujh me
sita sati ka maan hai tujh me
savitri ki aan hai tujh me
is bharat ki shan hai tujhme
shan hai tujhme
gauri ye maan nibhana
ye aan nibhana
ye nata janam janam ka
babul ka ghar chhoda
sajan sang joda
ye nata janam janam ka
lyrics of song Babul Ka Ghar Chhoda Saajan
Comments on song "Babul Ka Ghar Chhoda Saajan"
TheDeepakp on Monday, September 07, 2015
Film cast: Abhi Bhattacharya, Geeta Bali, Sheela Vaz, Shammi, Sunder,
Naranjan Sharma, Kuldip Kaur, Neeraj, Bhagwan Sinha
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Mahendra Kapoor
Lyricist: Tanveer Naqvi
Music Director: Chitragupta
Film Director: Kundan Kumar
Film Producer: J J Puri
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films