Video of this song from youtube
Average Rating : 4.67
Total Vote(s) : 30
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.


Lyrics of Bahar Khatam Hui Dil Gaya Khushi Bhi Gayi - बहार ख़त्म हुई दिल गया ख़ुशी भी गई
bahaar khatam hui, dil gaya khushi bhi gayi
vo kya gaye ke mohabbat ki zindagi bhi gayi
chale dil ki duniya jo barbaad kar ke
bahut royenge unko ham yaad kar ke
chale dil ki duniya jo barbaad kar ke
bahut royenge unko ham yaad kar ke

kisi tarah aata nahi chain dil ko
na khaamosh rah ke na fariyaad kar ke
bahut royege unko ham yaad kar ke
chale dil ki duniya jo barbaad kar ke
bahut royenge unko ham yaad kar ke

are o mere dil ke dushman zamaane
tujhe kya mila mujh ko barbaad kar ke
bahut royege unko ham yaad kar ke
chale dil ki duniya jo barbaad kar ke
bahut royenge unko ham yaad kar ke

khushi de ke taqdir ne de diya gam
kiya qaid kyon mujh ko aazaad kar ke
bahut royenge unko ham yaad kar ke
chale dil ki duniya jo barbaad kar ke
bahut royenge unko ham yaad kar ke
lyrics of song Bahar Khatam Hui Dil Gaya Khushi Bhi Gayi
Comments on song "Bahar Khatam Hui Dil Gaya Khushi Bhi Gayi"
Riaz Ali on Tuesday, May 10, 2011
This is a sadabahar geet. The most listened and favourited. In this song
Suraiyaji has established her individuality. Every song of Suraiyaji has
its own charm. Thanks for the upload of this immortal song
aapindi on Thursday, June 18, 2009
thankyou so much for liking.mazay ki baat,i have found some more very rare
suraiya gee,s audio gems that are not available in any of her cassetes cds
or on you tube i will IA upload some of them next week.
Ashok Saxena on Sunday, September 29, 2013
Bahut ro rahen hum unko yaad karke, sach mae suraiya ji jaisi gaane waali +
soorat waali is zamaane aub kahaan.
asha1053 on Monday, August 20, 2012
Love this song by Suraiya. Thanks to Naushad and Shakeel.
rabqaiser on Tuesday, February 16, 2010
old is gold thx my brother for this post nice singer i can feel the pain
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Dard (1947)
Nusrat, Suraiya, Munawar Sultana, Shyam, Husn Banu, Badri Prasad, Pratima DeviGeeta Dutt, Shamshad Begum, Suraiya, Uma DeviShakeel BadayuniDaan Singh, Naushad AliA R KardarA R KardarDard at IMDB      Dard at WikipediaDard at YouTube     |    Dard at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala

HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type