Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Barsat Ki Bheegi Rato MeGhazals

Video of this song from youtube
Average Rating : 3.80
Total Vote(s) : 5
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.


Lyrics of Barsat Ki Bheegi Rato Me - आई जो रुत सुहानी तेरी याद आ गई
aai jo rut suhaani teri yaad aa gai
mahki jo raat raani teri yaad aa gai
khud ko sambhale, khud ko sambhale
rakha tha yaado ki bheed me
kal aisa barsa pani
teri yaad aa gai

barsaat ki bheegi raaton me
barsaat ki, barsaat ki bheegi raaton me
barsaat ki bheegi raaton me
phir koi kahani yaad aayi
barsaat ki bheegi raaton me
phir koi kahani yaad aayi
kuch apna zamana yaad aaya
kuch apna zamana yaad aaya
kuch unki jawani yaad aayi
barsaat ki bheegi raaton me

hum bhool chuke the
kisne humein duniya me
akela chhod diya
hum bhool chuke the
kisne humein duniya me
akela chhod diya
jab gaur kiya to ek surat
jab gaur kiya to ek surat
jani pehchaani yaad aayi
jab gaur kiya to ek surat
jani pehchaani yaad aayi
kuch apna zamana yaad aaya

kuch panw ke chhale kuch aansu
kuch panw ke chhale kuch aansu
kuch tanhai kuch garde safar
kuch panw ke chhale kuch aansu
kuch panw ke chhale kuch aansu
kuch tanhai kuch garde safar
us bichhade huye humrahi ki
us bichhade huye humrahi ki
ek ek nishani yaad aayi
us bichhade huye humrahi ki
ek ek nishani yaad aayi
kuch apna zamana yaad aaya

hum chaak garewa aap hi the
hum chaak garewa aap hi the
kya kehte katil zamane ko
kya kehte katil zamane ko
jamane ko, jamane ko
kya kahte, kya kahte katil
hum chaak garewa han
hum chaak garewa aap hi the
kya kehte katil zamane ko
chheda jo, chheda jo paraya afsana
chheda jo paraya afsana
apni hi kahani yaad aayi
chheda jo paraya afsana
apni hi kahani yaad aayi
kuch apna zamana yaad aaya
kuch unki jawani yaad aayi
barsaat ki bheegi raaton me
lyrics of song Barsat Ki Bheegi Rato Me
Comments on song "Barsat Ki Bheegi Rato Me"
imranzaidi6 on Tuesday, December 13, 2011
Ghalib Bhai you certainly show a touch of class in your choice. The ghazal
by Qateel, a poetic beauty, and by Talat, a melodic beauty. Wah! Wah! Such
is the blend of poetry & music, that make us aware from time to time of our
deeper, unexplored feelings. Yes Ghalib Bhai, I love rain and I love the
memories that it brings. 'Beeta Huva Ik Sawan,Ik Yaad Tumhari; Le De Ke Ye
Do Baatein, Duniya Hai Hamaari'. Lata Ji's beautiful song illustrates it so
well, and conveys what this ghazal says. Thanks!!
Ghalib Khan on Thursday, December 15, 2011
@aarzoomehek1 Arzoo Talat Aziz sahab is also from your State, i guess u
know that. As you know Talat Aziz sahab specialzes in ghazals & picks the
right ones to sing them. And of all his ghazals i have heard I like this
one the best. I love rain too.Since you are so fond of poetry & being a
poet yourself I will recommend you to listen to another upload I have made
sung by the same artist but the poet is Saeed Shaheedi who is also from
your state,The name of the ghazal is kaise sukoon paun".THANKS
Ghalib Khan on Thursday, December 15, 2011
@OMGMEONYT Sajid aapne toh humain adab e mohabbat barishon se sekhaya, hum
ab aap ko seekhate hain larkiyon ko line marne ka tarika. Pahele ye shayr
yaad ker lo. "Is ada se yaar ne poocha mera mizaaj Kehna parha k shukar hai
Parwardigaar ka." Then kisi larki ko ye shair suna do. Aur phir jab dubara
us larki se mulakaat ho aur woh aapse pooche, "Sajid kaise ho". Jab muskura
k jawaab daine " Shukar hai Parwardigaar ka.". Thanks for your comment, it
is always a pleasure to talk to you.
Ghalib Khan on Thursday, December 15, 2011
@imranzaidi6 Imran Bhai jee haan Lata Ji song convey''s similar meanings.
Qateel Shifai has written some exceptional ghazals & it is his class which
shows in this ghazal. I have uploaded another ghazal which is also
beautiful, written by Saeed Shaheedi "Kaise Sukoon paun tujhe dekhne k
baad" also sung by Talat Aziz. Waqat milay toh zaroor dekhye ga, you will
love it. Thank you so much for your kind words & you are most welcome.
Ghalib Khan on Thursday, December 15, 2011
@khandeel Qandeel ji bohat humhain pataich tha k ye putta pasand aayega.
Haw inho ne Qateel Shifai Sahab k kalaam ko ba khoobi se nibha ya hai.
Waise ye aadmi gaata toh acha hai magar haseen bhi hai. .I am glad you
liked this video aur aap ko guzara huwa zamana yaad aa gaya. Kaun kehta hai
k guzara huwa zamana aata nahin dubara. Thanks for your comment. You are
always welcome.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Irshaad Vol. 1 (Album) (2000)
Talat Aziz, Qateel Shifai, Jagjit Singh, Saeed Rahi, Hasan KazmiNida Fazli, Qateel Shifai, Saeed Rahi, Saeed Shaheedi, Hasan KazmiTalat Aziz, Jagjit Singh
Popular Links on HindiGeetMala

HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type