chaudahavi ka chaand ho ya aafatab ho
jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho
chaudahavi ka chaand ho ya aafatab ho
jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho
chaudahavi ka chaand ho
zulfe hai jaise kaandho pe baadal jhuke huye
aankhe hai jaise mayke pyale bhare huye
masti hai jis me pyar ki tum wo sharab ho
chaudahavi ka chaand ho
chehara hai jaise jhil me hasta hua kaval
ya zindagi ke saaj pe chhedi hui gazal
jaane bahaar tum kisi shayar ka khwab ho
chaudahavi ka chaand ho
hotho pe khelti hai tabassum ki bijaliya
sajade tumhari raah me karati hai kahkasha
duniya-e-husn-o-ishq ka tum hi shabab ho
chaudahavi ka chaand ho
tujey naghmon ki jaan ahl-e-nazar yoonhi nahi kahtay
tere geeton ko dil ka hamsafar yonhi nahi kahtay
dukhi thay laaakh...phir bhi mutamaain thay dard k mare
teri awaz ki shabnam say dhul jatay thay gham saray
teri taanon maen husn-e-zindagi leta tha angrai
tujhe Allah nay bakhsa tha andaz-e-maseehai
toohi tha pyar ka ik saaz is nafrat ki dunya maen
ghaneemat thi teri awaz is nafrat ki dunya maen
mehaflon k damnaon maen
sahiloon k aas paas
yeh sada gonjay gi
sadyon tak dilon k aas paas
(tribute by great naushad sahab to great rafi sahab)