Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.67 - 3 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Choti Si Ek Bagiya Me - छोटी सी एक बगिया में
chhoti si ek bagiya me
khile nanhi munni si ek kali
sabnam ke sang jhula jhule
aur mast pawan ke sath pali
chhoti si ek bagiya me
khile nanhi munni si ek kali
chhoti si ek bagiya me
khile nanhi munni si ek kali

bachpan ka zamana beet gaya
joban ki suhani rut aayi
aur apne man hi man me
kuch muskayi kuch sarmayi
itne me kahi se ek bhawra
kuch gungun karta aa pahucha
aankho aankho me baat hui
isne dekha usne dekha
nadan kali us papi ki
is taan me sab kuch bhul gayi
aur tod ke nata bagiya se
bhawre ka daman tham chali

dono ne basa li ek dunia
armano ki aashao ki
ek dunia mast tarano ki
ek dunia thandi chhavo ki
choti si ek bagiya me khili
nanhi munni si ek kali
choti si ek bagiya me khili

choti si ek bagiya me khili
nanhi munni si ek kali
choti si ek bagiya me khili
nanhi munni si ek kali

haste haste kuch din gujre
phir kali ne ek sapna dekha
ek chand ka tukda aangan me
aakash se tut ke aan gira
us chand ke tukde se dunia
un dono ki aabad hui
lekin ye khushi do din ki thi
do din gujre barbad hui

bhawre ne kali ko thukraya
aur aankh chura kar chala gaya
kya reet yahi hai dunia ki
koi na kisi ka meet hua
bhawre se shikayat kaun kare
jab kismat ne muh mod liya
ik phul khilaya khushiyo ka
aur apne hatho tod liya
kyu mujhko diye aasu gam ke
dunia ko hasane wale ne
kyu tod liya hai phool mera
us phool khilaane waale ne
lyrics of song Choti Si Ek Bagiya Me
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Amar Kahani (1949)
Jairaj, Suraiya, Ranjana, Jagdish MehtaSuraiya, Geeta DuttRajendra KrishanHusanlal BhagatramBrij SharmaAmar Kahani at IMDB      Amar Kahani at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type