Video of this song from youtube
Dard Mein Marham Banu Main Kisi Tarah - दर्द में मरहम बनूँ मैं किसी तरह
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Dard Mein Marham Banu Main Kisi Tarah - दर्द में मरहम बनूँ मैं किसी तरह
wo jo kabhi sardiyo mein
dhoop si thi garmiyo mein chanv si
maujeedgi teri kaha gayi
wo patjhad ke mausamo mein
ik haryali jo layi thi
wo barishe kaha chali gayi

ab aankhe meri tujhe dhundha kare
tu mile na agar to ye roya kare
fasle ye kam karu main kisi tarah
dard mein marham banu main kisi tarah
faasley ye kam karoon main kisi tarah
dard mein marham banu main kisi tarah
mere mathe pe silvate jo hai

aake inhe mita do na
aansu mere bhatakte phirte hai
aake inhe panah do na
kuch kami si hai kuch nami si hai
aansuo se bhara hu main
band teri aankhein jabse hai
sanse roke khada hu main
sanse roke khada hu main
dard mein marham banu main kisi tarah
dard mein marham banu main kisi tarah
lyrics of song Dard Mein Marham Banu Main Kisi Tarah
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films