Video of this song from youtube
Lyrics of Dono Ki Aankhon Mein Jagmagaati Hai Jo - दोनों की आँखों में जगमगाती है जो
dono ki aankhon me jagmagaati hai jo
wo shararat nahin hai
wo shararat nahin hai magar kuch to hai
magar kuch to hai, magar kuch to hai
dono ke chehro pe rang laati hai jo
maana ulfat nahin hai
maana ulfat nahin hai magar kuch to hai
magar kuch to hai, magar kuch to hai

kaun si baat hai jo nigahon me hai
kya hai jo khamoshi ki panahon me hai
dono hi chahatein hain ki milte rahe
kya ye pehla kadam dil ki raahon me hai
dono ko har ghadi paas laati hai jo
maana chaahat nahin hai
maana chaahat nahin hai magar kuch to hai
magar kuch to hai, magar kuch to hai

dhadkane tez hain saans bhi garam hai
jo hawa hai chali kitni wo naram hai
dono me paas aake bhi hain faasle
inko inkaar hai ya koi sharam hai
dono ke honthon pe machle jaati hain jo
wo ijaazat nahin hai haan
wo ijaazat nahin hai magar kuch to hai
magar kuch to hai, magar kuch to hai
dono ki aankhon me jagmagaati hai jo
wo shararat nahin hai
wo shararat nahin hai magar kuch to hai
magar kuch to hai, magar kuch to hai
lyrics of song Dono Ki Aankhon Mein Jagmagaati Hai Jo
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Prem Kaa Game (2010)
Arbaaz Khan, Tara Sharma, Madhuri Bhattacharya, Malaika Arora, Rakesh Bedi, Johny Lever, Razzak Khan, Salman Khan, Samir Kochhar, Vivek Shauq, LilliputSonu Nigam, Sunidhi Chauhan, Javed Ali, Vishal Dadlani, Salman KhanJaved Akhtar, Kiran KotrialRaju SinghAshok KhenyAshok KhenyPrem Kaa Game at IMDB      Prem Kaa Game at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type