Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.86 - 7 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Duniya Me Kya Kya Hota Hai Pyare
duniya mein kya kya hota hai pyaare
duniya mein kya kya chalta hai pyaare
tu kya samjhe
tu kya jaane
tu kya samjhe
tu kya jaane
duniya abhi toone nahin dekhi
duniya mein kya kya hota hai pyaare
arre duniya mein kya kya chalta hai pyaare
chal aage badh andhernagri mein.

karta hai koi kaala dhandhaa
kaala dhandhaa
khot ka koi hai vyopaari
kyaa
haan baaba
bhagwaan bechta hai
mandir ka har pujaari
hariom
ginti ke lakhpati yahaan
laakhon yahaan bhikhaari
arre tu kya samjhe
tu kya jaane
tu kya samjhe
tu kya jaane
duniya abhi toone nahin dekhi
duniya mein kya kya hota hai pyaare
aur aage badh
kuchh aur dikhaata hoon.

duniya mein aane ki izaajat
haan jee permission
hamne kisi se kahaan li thhi
yoon hi tapak pade
jab aa gaye hain ham tum
raahon mein zindagi ki
aansoo bahaa ke kaise
manzil miley khushi ki
tu kya samjhe
tu kya jaane re
tu kya samjhe
tu kya jaane
duniya abhi toone nahin dekhi
duniya mein kya kya hota hai pyaare.
lyrics of song Duniya Me Kya Kya Hota Hai Pyare
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Raees (1976)
Asha Bhosle, Lata Mangeshkar, Kishore KumarNaqsh LyallpuriSapan JagmohanRaees at IMDB      Raees at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type