Video of this song from youtube
Ek Din Aur Gaya - एक दिन और गया
thumb coming soon

4.70 - 10 votes
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Ek Din Aur Gaya - एक दिन और गया
ek din aur gaya
haay roke na ruka, chhaya andhiyara
aaj bhi naav na aai
aaya na khevan hara, ek din aur gaya
haay roke na ruka, chhaya andhiyara
aaj bhi naav na aai
aaya na khevan hara, ek din aur gaya

kaali nagin si ghiri, raina kajrari
sahmi sahmi si hain ye nagar hamari
kaali nagin si ghiri, raina kajrari
sahmi sahmi si hain ye nagar hamari
deke aavaj thaka
o deke aavaj thaka, man dukhiyara
aaj bhi naav na aai
aaya na khevan hara, ek din aur gaya
haay roke na ruka, chhaya andhiyara
aaj bhi naav na aai
aaya na khevan hara, ek din aur gaya

fir wahi raat kathin chhup gaye tare
fir wahi raat kathin chhup gaye tare
abhi se bujhne lage deep hamare
dur badi dur savera, dur badi dur ujala
dur badi dur savera, dur badi dur ujala
dur hain aashao ka pul kinara
aaj bhi naav na aai
aaya na khevan hara, ek din aur gaya
haay roke na ruka, chhaya andhiyara
aaj bhi naav na aai
aaya na khevan hara, ek din aur gaya
haay roke na ruka, ek din aur gaya
lyrics of song Ek Din Aur Gaya
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films