bhikha baat adham ki bhikha baat adham ki
kahan sunan ki nahi
jo jane so kahe nahi jo kahe so jane nahi
ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
simate to dile aashiq faile to jamana hai
ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai
aankho me nami si hai chup chup se vo baithe hai
najuk si nigaho me najuk sa fasana hai
ek lafz mohabbat ka adna ye afsana hai
ye ishq nahi aasan itna hi samjh lijiye
ek aag ka dariya hai aur dub ke jana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
dil sange malamat ka har chand nishana hai
dil fir bhi mera dil hai dil hi to jamana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
aashu to bahut se hai aankho me jigar le ke
bind jaye so moti hai reh jaye so dana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
simate to dile aashiq faile to jamana hai
ek lafze mohabbat ka adna ye afsana hai
Abida Parveen Gaaiki Ka Samandar Hai. Ye Khuda Tala ki Naqabl Ay Bayan Ne
Ammat Hai Jo Khuda Ay Pak Nay Abida Parveen K Galay Mein rakh Di Hai Jiss
Say Laakhon Dilon Ko Sakooon Milta Hai