Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.50 - 2 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Ek Naya Yug Shuru Hua Hai - एक नया युग शुरू हुआ है
kuch din pahle bhart maa
jab tufano se giri hui thi
kuchh bigadi santan ne uski
ijjat lene par tuli hui thi
bhart maa ki aisi halat
jab indra ji dekh naa paai
soch samjh kar kab bhart mein
amrjensi lagwai
bees sutriy karykarm se bhart mein
bees sutriy karykarm se bhart mein
ek naya yug shuru hua hai bhart mein
ek naya yug shuru hua hai bhart mein
dekho bhart mein bhart mein bhart mein dekho bhart mein
dekho bhart mein bhart mein bhart mein dekho bhart mein

desh mein anushasan ki ek aisi hawa chali hai
kathin parishrm ki charcha dekho ab gali gali hai
desh mein anushasan ki ek aisi hawa chali hai
kathin parishrm ki charcha dekho ab gali gali hai
kale dhandhe chor bajari khatm ho gayi bhartachari
jab kimat niche aayi janta ne raah paai
aisi khushiya li chhai bhart mein
ek naya yug shuru hua hai bhart
dekho bhart mein bhart mein bhart mein dekho bhart mein

sadiyo se jo gramin bhai karj se dabe huye the
mul se jyada byaj diya par waise ke waise the
sadiyo se jo gramin bhai karj se dabe huye the
mul se jyada byaj diya par waise ke waise the
karje se ab chhutkara pakar
khushi manate hanskar gakar
har ganv mein bank khulega aur janta ko madat milegi
ab bigadi bat banegi dekho ab bhart mein
ek naya yug shuru hua hai bhart
bees sutriy karykarm se bhart mein
bees sutriy karykarm se bhart mein
ek naya yug shuru hua hai bhart mein
dekho bhart mein bhart mein bhart mein dekho bhart mein

hadtale aur tala bandhi ab sab khatm hui
malik aur majduro ka bhi nara aaj yahi hai
hadtale aur tala bandhi ab sab khatm hui
malik aur majduro ka bhi nara aaj yahi hai
utpadan badhayenge ham desh ko upar layenge ham
mehanat se kyu gabaraye sachcha sukh isme paye
kuch kar ke aaj dikhaye dekho bhart mein
ek naya yug shuru hua hai bhart
dekho bhart mein bhart mein bhart mein dekho bhart mein

bhart ke navyuvak gandi rajniti mein padkar
anushasan ko bhul gaye the galt raah par chal kar
sahi raah dikhla di shiri sanjay gandhi ne
bigadi bat bana di dekho shiri sanjay gandhi ne
paanch kaykarm samne aaye
are nar nari ko ye samjhaye
chhota pariwar banaye aur dahej ko door bhagaye
fir geet usi ke gaye dekho bhart mein
ek naya yug shuru hua hai
dekho bhart mein bhart mein bhart mein dekho bhart mein
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Kitne Paas Kitne Door (1976)
Samit Bhanja, Heena Kausar, Utpal Dutt, Anoop KumarAsha Bhosle, Aarti Mukherji, Chandrani Mukherjee, Jaspal SinghD S SultaniaChand PardesiD S SultaniaD S SultaniaKitne Paas Kitne Door at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type