Video of this song from youtube
Ek Taara Timtimaaya - एक तारा टिमटिमाया
Lyrics of Ek Taara Timtimaaya - एक तारा टिमटिमाया
kismat ki chhappar mein chhed kitne saare
usme chhan ke aate roshani ke
chhote chhote taare

chunna hai mannat ke tootne wale taare
jisse pure honge mutthi bhar
adhure sapne saare
ek tara timtimaya,itni bheed mein mujhko paaya
tara ta tara

jiski baaton mein lehak hai
chingari si dhadak hai
sulagti maachis ban ke
bhadakti akad mein tan ke

ye lou jalti jab talak hai
sath jalna tab talak hai
baaki khokhli baaten
hone do mulaqaten

thapendon mein vo uljha mujhko milte hi
banta hai jhootha suljh suljha
ek tara timtimaya,itni bheed mein mujhko paaya
tara ta tara

mousamo ki tarah duniya jahan ko bhi
badalte paaya
khaare paani ki nami zameen par
ek mutthi umeed ka beej phenk aaya

ek tara timtimaya,itni bheed mein mujhko paaya
tara ta tara
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films