Video of this song from youtube
Lyrics of Ghar Apna Bangaal Aur Bombai Mein Sasural - घर अपना बंगाल और हैं बम्बई में ससुराल
ghar apna bengal aur hai bambai me sasural
dekh ib kya hoga
hirni jaisi chal chal me jadu hai kamal
dekh ib kya hoga
ghar apna bengal aur hai bambai me sasural
dekh ib kya hoga

mera dil bhi janejaa hua hai abhi jawa
nachu mai gali gali
ho tere jaisa naujawa milega mujhe kaha
sochu mai khadi khadi
hum pagal behal kya kare balma nanital
dekh ib kya hoga
hum pagal behal kya kare balma nanital
dekh ib kya hoga
ghar apna bengal aur hai bambai me sasural
dekh ib kya hoga

jawani jaipur ki mere yaar
chunri us par thhapedar
chhamkchhalo o raja laga le tu gale
jawani jaipur ki mere yaar
chunri us par thhapedar
chhamkchhalo o raja laga le tu gale
jawani jaipur ki mere yaar

chupti chupati hui sabki nazar se
bachti bachati hui nikali hu ghar se
o ankhiyo ke teer pheke koi idhar se
koi diwana mare siti udhar se
hoye naina mere hai katar
banke aaye paharedar
chhamkchhalo o raja laga le tu gale
jawani jaipur ki mere yaar
chunri us par thhapedar
chhamkchhalo o raja laga le tu gale
jawani jaipur ki mere yaar

hum teri mehfil se khali hath kaise jayenge
ya hume tadpao tum ya hum tumhe tadpayenge
ya hume tadpao tum ya hum tumhe tadpayenge
dur se kaise bhala hum pyar ki bate kare
fasle ghat jayenge kuch tum chalo kuch hum chale
kuch tum chalo kuch hum chale
hai maza jab pyar me tum bhi chalo hum bhi chale

faisla ho kuch to aakhir tum maro ya hum mare
aji tum maro ya hum mare
is tarha kab tak bhala do dil yu hi takrayenge
ya hume tadpao tum ya hum tumhe tadpayenge
ya hume tadpao tum ya hum tumhe tadpayenge
pyar ki barbadiyo se janeman hum kyu dare
banda parwar aaiye kuch pyar ki bate kare
kuch pyar ki bate kare
jaan aur dil dono jalaye aag wo paida kare
phunk jaye wo samandar
hum jaha aahe bhare
aji hum jaha aahe bhare

hum to aise yaar hai jo pyar par mit jayenge
ya hume tadpao tum ya hum tumhe tadpayenge
ya hume tadpao tum ya hum tumhe tadpayenge

chhutke sara mal ja fasa kisi aur tu
banke putla mod pe jaha kahe tod du
oye hoye tod du
tere dil ke vich bhad ke baith gaye
hal dekhan javage
ya tu sanu bhad dil vich ya assi vad javage
lyrics of song Ghar Apna Bangaal Aur Bombai Mein Sasural
Comments on song "Ghar Apna Bangaal Aur Bombai Mein Sasural"
Bilen Shrestha on Wednesday, September 08, 2010
three vamps on her own style
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Khoon Ka Badla Khoon (1978)
Asha Sachdev, Agha, Bindu, Iftekhar, Bhagwan, Maruti, Vinod KhannaS H BihariO P NayyarK ParvezRatan MohanKhoon Ka Badla Khoon at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type