Video of this song from youtube
Har Pal Haadsa - यहाँ हर शख्स हर पल हादसा
thumb coming soon

4.33 - 3 votes
Singer Music by Lyricist Actor CategoryGhazals Movie
Lyrics of Har Pal Haadsa - यहाँ हर शख्स हर पल हादसा
yahan har shakhs har pal hadsa
hone se darta hain
yahan har shakhs har pal hadsa
hone se darta hain
khilauna hain jo mitti ka fana
hone se darta hain
yahan har shakhs har pal hadsa
hone se darta hain

mere dil ke kisi kone me
ek maasum sa bachcha
mere dil ke kisi kone me
ek maasum sa bachcha
mere dil ke kisi kone me
ek maasum sa bachcha
bado ki dekh kar duniya
bada hone se darta hain
bado ki dekh kar duniya
bada hone se darta hain
khilauna hain jo mitti ka
fana hone se darta hain
yahan har shakhs har pal hadsa
hone se darta hain

na bas me hain zindagi iske
na kaabu maut par iska
na bas me hain zindagi iske
na kaabu maut par iska
na bas me hain zindagi iske
na kaabu maut par iska
magar insaan fir bhi kab khuda
hone se darta hain
magar insaan fir bhi kab khuda
hone se darta hain
khilauna hain jo mitti ka fana
hone se darta hain
yahan har shakhs har pal hadsa
hone se darta hain

ajab ye zindagi ki kaid hain
duniya ka har insaan
ajab ye zindagi ki kaid hain
duniya ka har insaan
ajab ye zindagi ki kaid hain
duniya ka har insaan
rihaai maangta hain aur riha
hone se darta hain
rihaai maangta hain aur riha
hone se darta hain
khilauna hain jo mitti ka fana
hone se darta hain
yahan har shakhs har pal hadsa
hone se darta hain
yahan har shakhs har pal hadsa
hone se darta hain
lyrics of song Har Pal Haadsa
Comments on song "Har Pal Haadsa"
digitalinkcs on Wednesday, March 12, 2014
Yahan Har Shaks - [Pankaj Udhas]
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films