Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke
4.82 - 11 votes
Tanuja, Leela Chitnis, Rajeev
Video of this song from youtube
Lyrics of Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke - इसको भी अपनाता चल, राही हैं सब एक डगर के
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal
raahi hai sab ek dagar ke sab par pyar lutata chal
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata cha

idhar kafan tak nahi laash par udhar numaayish resham ki
yahan swayavar kare chandani vahan na raat kate gam ki
dharati kakar patthar mare ambar ugle angare
koi puchhe bat na is bagiya me dukhiyaa shabnam ki
sukh ki umr badhata chal, dukh ko kafan odhaata chal
mile jahan bhi mahal use kutiya ke pas bulata chal
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal

bikaa biki sab or machi hai aane yaa do aano par
ismat bike doraaho par to pyaar bike dukano par
dagar dagar par mandir masjid qadam qadam par gurudvare
bhagvano ki basti me hai zulm bahut insano par
khidaki har khulavata chal, sankal har katavata chal
is par bhi roshani na ho to dil kaa diyaa jalata chal
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal
rahi hai sab ek dagar ke sab par pyaar lutata chal
isko bhi apnata chal

hirdey hirdey ke bich khaiyaan lahu bichhaa maidano me
ghum rahe hai yuddh sadak par shanti chhipi shamshano me
zanjire kat gai magar azaad nahi insan abhi
duniya bhar ki khushi qaid hai chandi jade makano me

tat tat raas rachataa chal, panghat panghat gaataa chal
pyasaa hai har pran nayan kaa gagaa jal chhalkata chal
isko bhi apnata chal

nayan nayan tarse sapno ko aanchal tarse phulo ko
aangan tarse tyoharo ko galiya tarse jhulo ko
kisi hoth par baje na basi kisi haath me bin nahi
umar samudar ki de daali kis ne chad babulo ko
soi kiran jagata chal, ruthi subhe manata chal
pyaar naqaabo me na band ho har ghunghat khulvatachal
isko bhi apnta chal, usko bhi apnta chal
lyrics of song Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke
Comments on song "Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke"
kchopra4080able on Wednesday, January 12, 2011
bhagwaanon ki basti mein hain
zulm bahot insaanon par...

Wow! what a line! We certainly can do with more of such uploads. So very educative and so very timely as well. Thanks MR for sharing this excellent piece of composition. Thanks for up loader
Yousuf Khan on Wednesday, November 02, 2011
I have no words to describe this song. written by great poet ,music by a great musician ;sung by a ever green singer MY favorite Great RAFI Sahab and uploaded by a grat lover of music . hats off to all
tsheikh56 on Thursday, January 07, 2010
Wah dost kya upoload kiya hai, beautiful poetry and Rafi Jee, sone pe suhaga. Buhat Shukriya
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Nai Umar Ki Nai Fasal (1966)
Shobhna Samarth, Rajeev, Tanuja, Leela Chitnis, Ulhas, M A Lalif, Renuka Roy, S K PremManna Dey, Mohd. RafiNeerajRoshanR ChandraNai Umar Ki Nai Fasal at IMDB      Nai Umar Ki Nai Fasal at WikipediaNai Umar Ki Nai Fasal at YouTube     |    Nai Umar Ki Nai Fasal at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type