Video of this song from youtube
Lyrics of Jaate Jaate Ik Nazar Bhar Dekh Lo Dekh Lo - जाते जाते इक नज़र भर देख लो देख लो
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

subah kaa vaqt huaa aai gulashan me sabaa
chhid gayaa saaj-e-chaman gunji aavaaz-e-chaman
naalaa bulbul ne kiyaa khul gayaa raaz-e-chaman
phul muskaraane lage ishq farmaane lage
aah-e-bulbul se magar faili gulshan me khabar
ishq badnaam huaa chal gayaa sabko pataa
baagbaan aa hi gayaa pyaar ki dene sadaa
phul shaakho se chune naale bulbul ke sune
haar kuchh gunth lie hanste dil tod die
ashk shabnam ke bahe aur khaamosh rahe
haar phulo ke jo gulshan se vo lekar nikla
apne phulo se machalti hui bulbul ne kahaa
kyaa, jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo

shamaa ne jalve lutaae jo shabistaano me
shauq jal jaane kaa paidaa huaa parvaano me
shamaa ne jalve lutaae jo shabistaano me
shauq jal jaane kaa paidaa huaa parvaano me
sar hatheli pe lie ishq ke jaanbaaz chale
aag sino me chhupaae hue hamraaz chale
aag sino me chhupaae hue hamraaz chale
shamaa ne dekhaa jo aate hue parvaano ko
boli bithlaaun kahaan ishq ke mehmano ko
kaun samjhaega in chaak-garebaano ko
sarphiraa kahti hai duniyaa mere divaano ko
sarphiraa kahti hai duniyaa mere divaano ko
aise divaane ki marne ki kasam khaae hue
ishq ki aag me jalne ke lie aae hue
ishq ki aag me jalne ke lie aae hue

munh phiraaungi to mahfil se nikal jaaenge
inko sine se lagaaungi to jal jaaenge
bole parvaane hame ishq me jal jaane de
jaan ke saath ye armaan nikal jaane de
kah ke shauk me divaane pe divaanaa giraa
ishq ki aag me parvaane pe parvaana giraa
ishq ki aag me parvaane pe parvaana giraa
ahal-e-dil jalvaa-e-jana pe fidaa hone lage
shamaa ki lau se gale mil ke judaa hone lage
ishq me dekh kar kurbaniya in divaano ki
shamaa ne itnaa kaha laash pe parvaano ki
kyaa, jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
jaate-jaate ik nazar bhar dekh lo dekh lo
lyrics of song Jaate Jaate Ik Nazar Bhar Dekh Lo Dekh Lo
Comments on song "Jaate Jaate Ik Nazar Bhar Dekh Lo Dekh Lo"
Jamie Kaur on Friday, December 30, 2011
@norina66 Wow! Norina i never heard about this qawwali before. Really very
interesting. Great lyrics.You are absolutely right. it is not long enough.
I also love qawwalis of Rafi ji Like "Yeh maana meri jaan" of Hanste Zakham
and "Parda hai Parda" of Amar Akbar, Anthony. Thanks for sharing your
choice.
MoleculaRafian on Thursday, September 23, 2010
. You are most welcome, Norina. Thanks for visiting. Make it a great day, MR
norina66 on Sunday, January 17, 2010
I've only one complaint about this qawwali, its NOT long enough!
Likhnewalon ne jaldi hi kaam khatam kar liya!
MrTaxiwala on Saturday, January 14, 2012
Beautiful rafi sahab, is the female mumtaz ? She looks very young?
norina66 on Thursday, September 23, 2010
One of my all-time favourite qawwalis! Thanks for uploading
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Qawwali Ki Raat (1964)
Kamaljeet, Kum Kum, Mumtaz, Deven Verma, Jagdeep, Aruna Irani, MuradAsha Bhosle, Manna Dey, Mohammed Rafi, S Balbir, Mubarak Begum, Suman KalyanpurShewan RizviIqbal QureshiDurgesh Kumar, SantoshQawwali Ki Raat at IMDB      Qawwali Ki Raat at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type