Video of this song from youtube
Jab Saiyan Aaye Shaam Ko - जब साईंया आए शाम को
Lyrics of Jab Saiyan Aaye Shaam Ko - जब साईंया आए शाम को
jab saiyaan aaye shaam ko
toh lag gaye chaand mere naam ko
jab saiyaan aaye shaam ko
toh lag gaye chaand mere naam ko
sar pe rakh ke naach phiri main
har jalte hue ilzaam ko
jab saiyaan aaye shaam ko
toh lag gaye chaand mere naam ko

diwaaron dar, chaukhat wokhat
ban gaye hai, sab saheli
yeh kuch pooche , woh kuch pooche
kitne jawab doon main akeli
hazaaron kaam mil gaye hain
yoon baithe bithaye iss nakaam ko
jab saiyaan aaye shaam ko
toh lag gaye chaand mere naam ko

khudko dekhne tak ki bhi fursat mujhko nahi milti
unke ishq ke noor ke aage shama, nahi jalti
khudko dekhne tak ki bhi fursat mujhko nahi milti
unke ishq ke noor ke aage shama nahi jalti
laakhon naaz lag gaye hai
phir guroor ke iss badnaam ko
jab saiyaan aaye shaam ko
toh lag gaye chaand mere naam ko
sar pe rakh ke naach phiri main
har jalte hue ilzaam ko

Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films