Video of this song from youtube
Jamuna Kinare Baje - जमुना किनारे बजे
screen shot of song - Jamuna Kinare Baje

4.00 - 2 votes
Lyrics of Jamuna Kinare Baje - जमुना किनारे बजे
jamuna kinare baje shyaam ki basuriya
shyam ki basuriya baje shyam ki basuriya
shyam to hai radha ka baanvra
shyam to hai radha ka baanvra
o o kanha ke rang rangi radha banwariya
radha ke rang ranga sanvra
radha ke rang ranga sanvra
jamuna kinare baje shyaam ki basuriya
shyam ki basuriya baje shyam ki basuriya

gokul me gokul me, shor macha shor macha
kaha gayi gwalan ki chhoriya
kaha gayi gwalan ki chhoriya
ghar aangan ghar aangan, bisra ke bisra ke
mohan sang raas rache goriya
mohan sang raas rache goriya
ho o sab me samaake sabse aankhiya churake
raadha ke sang chala saawara
saawara saawara saawara saawara
jamuna kinare baje shyaam ki basuriya
shyam ki basuriya baje shyam ki basuriya

radha ki radha ki, payal se payal se
bandhi jaise murali ki taan re
bandhi jaise murali ki taan re
kanha ki kanha ki, murli me murli me
base jaise radha ke praan re
base jaise radha ke praan re
o o o radha ke jaisi koi duji na premika
kanha sa premi nahi dusra
saawara saawara saawara saawara
jamuna kinare baje shyaam ki basuriya
shyam ki basuriya baje shyam ki basuriya
lyrics of song Jamuna Kinare Baje
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films