Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Janejaan Keh Ke Bulaya
3.69 - 16 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Janejaan Keh Ke Bulaya - जानेजां कह के बुलाया
jaanejaan kehke bulaya to bura maan gayi
hale dil apna sunaya to bura maan gayi
jaanejaan kehke bulaya to bura maan gayi
hale dil apna sunaya to bura maan gayi
ham to samjhe the tumhe husn ka sacha aashik
tumne hamko hi banaya to bura maan gaye
ham to samjhe the tumhe husn ka sacha aashik
tumne hamko hi banaya to bura maan gaye

dekho tum kal bhi nahi aayi thi vaada karke
aaj aayi ho to jhagde ka irada karke
dekho tum kal bhi nahi aayi thi vaada karke
aaj aayi ho to jhagde ka irada karke
apni marzi ke hai maalik hame parwah kiski
kya karoge jo mukar jayenge wada karke
jaane kis kis ki gajal roz suna karte ho
maine ek sher sunaya to bura maan gaye
jaane kis kis ki gajal roz suna karte ho
maine ek sher sunaya to bura maan gaye
ham to samjhe the tumhe husn ka sacha aashik
tumne hamko hi banaya to bura maan gaye

jo bhi ruswayi hui uska gunahgaar hu mai
jo bhi ruswayi hui uska gunahgaar hu mai
pyaar karta hu mohabbat ka talabgaar hu mai
jab bhi milte ho pareshaan kiya karte ho
aisi diwani mohabbat se to bezaar hu mai
dil me hai pyaar magar hontho pe ikrar nahi
aaina hamne dikhaya to bura maan gaye
dil me hai pyaar magar hontho pe ikrar nahi
aaina hamne dikhaya to bura maan gaye
ham to samjhe the tumhe husn ka sacha aashik
tumne hamko hi banaya to bura maan gaye

mehka mehka ye bahaaro ka hasi mausam hai
aise me door kyo mujhse tu mere hamdam hai
mehka mehka ye bahro ka hasi mausam hai
aise me door kyo mujhse tu mere hamdam hai
aise mausam me behek jaane ka dar hai warna
jo tumhara hai hamara bhi wahi aalam hai sach
fir to aa jao meri baho me jaanejaana
ab na gusse me ye kehna ki bura maan gaye
ruth jana to hasino ki ada hoti hai
to fir maan bhi jao ye lo ham maan gaye
lyrics of song Janejaan Keh Ke Bulaya
Comments on song "Janejaan Keh Ke Bulaya"
Azim Khanau on Friday, January 18, 2013
ab s e 3 saal pahle net pe aaya tha is song ko search karne mai aaj 3 saal
baad mila hai ye song mujhe thanx so much :) thanx alot
Azim Khanau on Friday, January 18, 2013
mp3 mai tha kai site pe par videio mai nai mil raha tha
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Ghar Ka Sukh (1987)
Raj Kiran, Shoma Anand, Tanuja, Aruna Irani, Kader Khan, Asha Lata, Bharat BhushanAsha Bhosle, Sujata, Alka Yagnik, Anuradha Paudwal, Anwar, Suresh WadkarRaviRaviKalpataruGhar Ka Sukh at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type