jivan se bhari teri aankhe
majbur kare jine ke liye jine ke liye
sagar bhi taraste rehte hain
tere hoth ka ras pine ke liye pine ke liye
jivan se bhari teri aankhe
tasvir banaaye kya koyi
kya koyi likhe tujhape kavita
rango chhando me samayegi
rango chhando me samayegi
kis tarah se itani sundarata
ek dhadkan hai tu dil ke liye
ek jaan hai tu jine ke liye jine ke liye
jivan se bhari teri aankhe
madhuban ki sugandh hai sanso me
baaho me kamal ki komalata
kirno ka tej hai chehare pe
kirno ka tej hai chehare pe
hirno si hai tujhame chanchalata
aanchal ka tere hai sar bahut
koyi chak jigar sine ke liye sine ke liye
jivan se bhari teri aankhe
majbur kare jine ke liye jine ke liye
jivan se bhari teri aankhe
I heard this song first in the year 1997 .This is the song that i liked most .A real melody of kishoreji.He was really a perfect singer .No word can give a true tribute for his great songs in Hindi movies.He'll be in hour memory till we live.