Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.73 - 11 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Kab Beet Gayi Jivan Ki Subah - कब बीत गई जीवन की सुबह
kab beet gayi jivan ki subah
ye jaan na main to payi re
bujh gaye deep aashao ke
ye kaisi aandhi aayi re
ye kaisi aandhi aayi re
kab beet gayi

duniya ne mera duniya me
sukh chain hai mujhse chhin liya
sukh chain hai mujhse chhin liya
kismat ne khushi ki kaliyo ko
hai man upavan se bin liya
hai man upavan se bin liya
ab kisko pukaru sunta nahi
dukhiya ki koi duhaai re
dukhiya ki koi duhaai re
kab beet gayi

jab lakho the sunnewale
tab kahne ko thi baat nahi
tab kahne ko thi baat nahi
ab lakho baatein kahni hai
aur sunnewala sath nahi
aur sunnewala sath nahi
main puchhu kise jakar ke prabhu
main puchhu kise jakar ke prabhu
ye kisne aag lagai re
ye kisne aag lagai re
kab beet gayi
lyrics of song Kab Beet Gayi Jivan Ki Subah
Comments on song "Kab Beet Gayi Jivan Ki Subah"
Himanshu Muni on Saturday, June 20, 2015
Really sad and depressive song . Sung in ted slow tempo , lyrics do express
plight of the character logically. When there were plenty of listeners,
there seemed to be no need to think any more but when tide turned and
thinking started there is no one to listen. This kind of isolation is
always unbearable. Melodrama does not entertain and probably that is why
this otherwise well done song remains unknown. Thanks for the upload.
Sara S.J on Saturday, June 20, 2015
Jab lakhon the sun ne wale, tab kahne ko thee baat nahi , Ab lakhon baatein
kahin hain aur sun ne wala saath nahi..
Kya hi ranjeeda/khoobsoorat geet hai jise lata ji ne dil ka saara dard
samet ke gaaya hai.Jaisa dard unka Madan ji ki gazlon main sunayee deta
tha.Dheeme, Dheeme sangeet pe dolta hua geet dil main dard paida karta hai.
Rulane ke liye Dhanyavaad Ajay.
Vinayak Vaidya on Saturday, August 01, 2015
My already high respect for Madhukar Rajasthani went up severla
notches..no wonder when such a beautiful poetry is in front Balsara and
Lata, they must be overjoyed to work on it and create a Master Piece! Bravo
all three
Bharat Gul on Saturday, June 20, 2015
Har shabdaansh se motiyon jaise aansu tapak rahe hain. Lataji ki vaani mein
niraasha aur madhurta ka ek aur anmol sangam. Dhanyavaad, Ajay.
akarshik on Saturday, June 20, 2015
Never heard this so beautiful song before, thanks brother for uploading
this song.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Madmast (1953)
A N Ansari, Shashikala, Nirupa Roy, Shakeela, MukriAsha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi, S D Batish, Mahendra Kapoor, Bahadur Nanaji, Dhan Indorewala, Shamshad Begum, Dhan Indorewala, Bahadur Nanaji, V BalsaraMadhukar Rajasthani, Maanav, J C PantV BalsaraJagdish PantMadmast at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type