Video of this song from youtube
Advertisement
Kaga Mera Ek Kaam Karna - कागा मेरा एक काम करना
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Kaga Mera Ek Kaam Karna - कागा मेरा एक काम करना
kaga mera ek kaam karna
kaga mera ek kaam karna
kabhi mere pritam ki gali se tu gujarna
kaga mera ek kaam karna

main jo kahu tujhse wo kahna unhe jake
wo jo kahe tujhse wo kahna mujhe aake
jaldi jana jaldi aana
unke jawab pe hain mujhe jeena marna
kaga mera ek kaam karna

kya kya kahna hain thahar yaad kar leti hu
bhul na jaye tu main chitthi likh deti hu
chup rahna kuch na kahna
unse main darti hu
tu bhi unse darna
kaga mera ek kaam karna
kabhi mere pritam ki gali se tu gujarna
kaga mera ek kaam karna
lyrics of song Kaga Mera Ek Kaam Karna
Advertisement
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
Advertisement