Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.50 - 8 votes
Ghazals
Video of this song from youtube
Lyrics of Kal Chaudvi Kee Rat Thee - कल चौदवी की रात थी कल चौदवी की रात थी
kal chaudvi ki raat thi kal chaudvi ki raat thi
shab bhar raha charcha tera shab bhar raha charcha tera
kal chaudvi ki raat thi kuch ne kaha ye chand hai
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera
kal chaudvi ki raat thi

ham bhi vahi maujud the hamse bhi sab puchha kiye
kuch ne kaha ye chand hai ye chand hai ye chand hai
ye chand hai ye chand hai ye chand hai ye chand hai
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera
ham bhi vahi maujud the hamse bhi sab puchha kiye
ham has diye ham chup rahe manjur tha parda tera
kal chaudvi ki rat thi kal chaudvi ki rat thi
shab bhar raha charcha tera kal chaudvi ki raat thi

kunche ko tere chhod kar jogi hi ban jaye magar
kunche ko tere chhod kar jogi hi ban jaye magar
jungle tere parvat tere jungle tere parvat tere
basti teri sehra tera kal chaudvi ki rat thi
kal chaudvi ki rat thi shab bhar raha charcha tera
shab bhar raha charcha tera shab bhar raha charcha tera
shab bhar raha charcha tera kal chaudvi ki rat thi
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha ye chand hai
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha ye chand hai
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha ye chand hai
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha ye chand hai
kuch ne kaha chehra tera
lyrics of song Kal Chaudvi Kee Rat Thee
Comments on song "Kal Chaudvi Kee Rat Thee"
sumitgulati1980 on Monday, March 09, 2009
jagjit singh ji ki gazalon agar sahara na hota to hum jaise diljale aur dil
ki chot khaye ashiqe to kab ke is duniya se uth gaye hote. jagjit ji appki
dard bhari gazalen jo main baar baar sunta hoon aur uske saath -2 apne
zakhmo ko baar baar kuredta hoon aur jab dil ka khoon aankho ke raste bahar
aata hai aur jo dard hota hai usse enjoye karne ka jo maza hai woh to bus
main he mehsoos kar sakta hoon. yakin kijiye ga apki love is blind album ki
ab tak 45 sun sun kar ghisa chuka hoon hats off to u
sumitgulati1980 on Monday, March 09, 2009
jagjit uncle mujhe aapki sab se jyda pasand gazal lov is blind album b side
pehli gazal ,tum yeh kaise juda ho gaye be inteha pasand hai aur mere
paagal pan ki hadd dekhiye sirf yahi gazal maine 120 minute ki blank audio
lekar dono taraf (a side b side) record karva kar rakhi hai aur har waqt
mere paas hoti with mini cassete player. plz dont think that by telling you
all this i m trying to show you that i m very big fan of yours. main to ek
adna sa admi hoon. apka fan kehlane ki aukat nahi meri
Deepak Rastogi on Sunday, October 14, 2012
Jagjeet ji ki gazals.Kitni bar bhi sunlo utni hi nayi or tarotaza karne
wali gazals.Bachpan se khwahish thi k ek bar unko live sun pau. Par
jaise unki gazal hai " hazaro khhwahishe aisi k har khwahish pe dum nikle,
bahut nikle mere arman lekin fir b kam nikle" Bus ye khwahish khwahish ban
kar hi reh gayi. Kal Talat Aziz ji ko suna Sham e gazal me or unhone Jagjit
ji ki yaad me Chaudhvi ki raat or Tumko dekha gungunayi to ek bar fir se us
ruhani awaz ki kami mehsus ho gai.
Deepak Rastogi on Sunday, October 14, 2012
This gazal is my all time favourite. Kal bhi yahi soch k ankhe nam ho ayi k
kash samne wahi insaan hota jiski ye gazal hai. Talat ji ki awaz me bhi
mera man usi awaz, usi andaaz ko dhundhta raha. Jagjit ji k jane se ek mai
ek baat seekh gayi k jo bhi khwahish hai karne ki aaj hi kar lo kal ka koi
bharosa nahi..Kal zindgi ye mauka de ya na de k aap apne apno ko apna
pyar or samman dikha sako to isliye aaj hi keh dalo.
m0han2003 on Sunday, March 15, 2009
Mesmerising rendition of this popular ghazal. Jagjit's version is the most
passionate compared to other masters who sang this song.., look for timely
knockout moments at 2:18-2:22 and 6:43-6:52, and the complete transormation
in play on word 'Jogi' from 4:21 for 2 minutes.. Well done Jagjit, very
well done.. you've improvised on this ghazal.. the actual recording version
( non-concert ) sounds even better..
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Life Story (Jagjit Singh) (2001)
Jagjit Singh
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type