Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Tum Meri Ho
4.55 - 20 votes
Rajendra Kumar, Rakhee
Video of this song from youtube
Lyrics of Tum Meri Ho - तुम मेरी हो
tum meri ho, mere siwa kisi ki nahi
khaati ho kasam, khaati hu kasam
tum meri ho, mere siwa kisi ki nahi
khaati ho kasam, khaati hu kasam
main teri hu, tere siwa kisi ki nahi
khaati hu kasam, khaati hu kasam

iltija pyaar ki itni hai agar maano tum
iltija pyaar ki itni hai agar maano tum
waasta mera tumhe, dil se lagaalo mujhko
madbhara aaj ka mausam bhi yahi kehta hai
ab to in reshmi julfon mein chhupa lo mujhko
tum meri ho, mere siwa kisi ki nahi
khaati ho kasam, khaati hu kasam
main teri hu, tere siwa kisi ki nahi
khaati hu kasam, khaati hu kasam

ab juda koyi tumhe, mujhse na kar paayega
ab juda koyi tumhe, mujhse na kar paayega
aisa baandha hai tumhe pyaar ki in baahon se
pyaar ki raah mein mit jaayunga, chaahat ki kasam
puchh lena ye kisi roj inhi raahon se
tum meri ho, mere siwa kisi ki nahi
khaati ho kasam, khaati hu kasam
main teri hu, tere siwa kisi ki nahi
khaati hu kasam, khaati hu kasam

mere waade hai, ye paani ki lakiren to nahi
mere waade hai, ye paani ki lakiren to nahi
gair mumkin hai mere dil ka fasaana badle
shaam ke dubte suraj ki gawaahi le lo
main na badlungi chaahe zamana badle
tum meri ho, mere siwa kisi ki nahi
khaati ho kasam, khaati hu kasam
main teri hu, tere siwa kisi ki nahi
khaati hu kasam, khaati hu kasam
tum meri ho, mere siwa kisi ki nahi
khaati ho kasam, khaati hu kasam
lyrics of song Tum Meri Ho
Comments on song "Tum Meri Ho"
ursaheli on Thursday, December 25, 2008
Great upload, thanks. It is Mohd.Rafi birthday and Christmas Eve. X-mas brings happiness and is spread throughout the world wishing everyone joy and peace. And Rafi's voice bring us the same joy and peace, He created an everlasting appeal, His songs do not fail to mesmerise us, His voice strikes a chord with millions, young and old and is claimed to be divine. May God rest His soul in eternal peace. Thanks again and wishing U a safe & happy holiday season:)
farman101 on Wednesday, December 24, 2008
Beautiful song and gorgeous sttings.Best Wishes.
musafir39 on Thursday, July 16, 2009
Lovely duet. Thank you for sharing.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Aan Baan (1972)
Rajendra Kumar, Rakhee, Pran, Jagdeep, Kum Kum, Som Dutt, Kanhaiya Lal, Baby Tabassum, Sunder, Bhagwan, Anwar Hussan, Ram Mohan, Moolchand, Indu ShivrajAsha Bhosle, Mohammed Rafi, Lata MangeshkarHasrat Jaipuri, Gulshan BawraShankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai PankalPrakash MehraMalik Chand KocharAan Baan at IMDB      Aan Baan at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type