Video of this song from youtube
Khamakha Yun Hi - खामखा यूँ ही
screen shot of song - Khamakha Yun Hi

3.00 - 1 votes
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Khamakha Yun Hi - खामखा यूँ ही
khamakha yeh sab armaan mere jagne lage hai kyu
behki behki si saanson ko par lagne lage hai kyu
behoosh se sab raaste beparwah hun mai yahaan
lamhe sabhi berangon se rangne lage hai kyu
na hi tu jaane na hi mai jaanun
khoye khoye se din raat rehte hai kyu
hai yeh kaisi khalish hai yeh kaisi khata
harsun hai dil ko teri aarzoo

roothi roothi si thi yeh har shab meri
baasi baasi si thi meri subah
tujhko paane si pura hua hoon
khali khali tha jo mera jahaan
khamakha lage har baat si jo tujhse na ho judi
khamakha lage meri har khushi bewajah bemaatlabi
khamakha hi hai hona mera hona na ho jo tera
bas tera hi hoke lage hun khamakha nahi

na hi tu jaane na hi mai jaanun
khoye khoye se din raat rehte hai kyu
hai yeh kaisi khalish hai yeh kaisi khata
harsun hai dil ko teri aarzoo
teri har aadat se hai aadat meri
teri chahat hi hai ibadaat meri
aaja mai lelun aise teri balayein
taklefe teri hai raahat meri

khamakha hi hai saubat meri jo teri na ho saki
khamakha hi hai aanhein bhi jo tujh tak na ho gayi
khamakha hi hai hona mera hona na ho jo tera
bas tera hi hoke lage hun khamakha nahi

lyrics of song Khamakha Yun Hi
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films