Video of this song from youtube
Ki Farak Painda Hai - की फरक पैंदा है
Lyrics of Ki Farak Painda Hai - की फरक पैंदा है
karam ki duniya mein
koi dharam kya chunta hai
bhaiya ki farak painda hai

mamaiya koi padta kalma
koi kirtan sunta hai
hanji ki farak painda hai

haan inn chehron mein chehra
har tevar ka milta hai
lehza bhi har khushbu
har flavor ka milta hai

aapas mein khann khann
karte hain bartan jaise
apna toh khann khann se bhi
music banta hai

suno bhaiya itni azaadi mein
bhaiya itna toh chalta hai
lo ji ki farak painda hai

ho dhup kisi ka kabhi
mazhab kahan poochti hai
ik jaisi sabki hai
kaum kisi ki kya hai
barkha kahan sochti hai
har aangan girti hai

hua toh kya koi agar gora ya kala
mazakiya mijajiya guroor wala
zara sa toh milega hi sabhi mein antar
meharbaan sabhi pe hai upar wala

socho miyan kaun kam ya jyada
koi kaise tay karta hai
ho ji ki farak painda hai



Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films