Video of this song from youtube
Lyrics of Kisi Ki Yad Mein Ro Ro Ke (Mohabbat Karen Walo Ki, Yahi Anjam Hota Hai) - किसी की याद में रो रो के अपने, दिन गुजरतें हैं
kisi ki yaad mein ro ro ke apne, din guzarte hai
ye kaisi zindagi hai, hum na jeete hai, na marte hai
mohabbat karne walo ka
mohabbat karne walo ka, yahi anjam hota hai
tadapna un ki qismat mein
tadapna un ki qismat mein
to subah-o-sham hota hai
mohabbat karne walo ka, yahi anjam hota hai

humesha ke liye duniya mein, do dil mil nahi sakte
humesha ke liye duniya mein, do dil mil nahi sakte
do dil mil nahi sakte
nazar milna judai ka
nazar milna judai ka hi, ik paigam hota hai
mohabbat karne walo ka, yahi anjam hota hai

meri barbadiyan bhi dekh li, tumne jahan walo
meri barbadiyan bhi dekh li, tumne jahan walo
are tumne jahan walo
jo karta hai mohabbat wo
jo karta hai mohabbat wo, yu hi nakam hota hai
mohabbat karne walo ka, yahi anjam hota hai

na din mein chain hai humko, na raato ko karar aaye
na din mein chain hai humko, na raato ko karar aaye
na raato ko karar aaye
bata de koi duniya mein
bata de koi duniya mein, kahan aaram hota hai
mohabbat karne walo ka, yahi anjam hota hai
lyrics of song Kisi Ki Yad Mein Ro Ro Ke (Mohabbat Karen Walo Ki, Yahi Anjam Hota Hai)
Comments on song "Kisi Ki Yad Mein Ro Ro Ke (Mohabbat Karen Walo Ki, Yahi Anjam Hota Hai)"
Premendra Singhal on Tuesday, October 14, 2014
The Child actor is Laxmikant of Great Music Duo Laxmikant Pyarelal
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Aankhen (1950)
Shekhar, Nalini Jaywant, Yashodhara Katju, Cuckoo, Bharat Bhushan, Yaqub, Anwari, Bhudo AdvaniMadan Mohan, Meena, Mohammed Rafi, Mukesh, Shamshad Begum, Uma DeviRaja Mehdi Ali Khan, Bharat Vyas, DeepakMadan MohanDevendra GoelAankhen at IMDB      Aankhen at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type