Video of this song from youtube
Lori (Munjya) - लोरी
SingerHansika Pareek
Music bySachin Jigar
LyricistAmitabh Bhattacharya
Actor
CategoryLori Songs
MovieMunjya (2024)
Lyrics of Lori (Munjya) - लोरी
paalna hai baadlon ka takiya chaand ka
odhane ko taron se jada yeh aasmaa
tera maatha choom ke sunaaun mai tujhe
pariyon ki kahani jugnuon ki daastaan
kaale andhere ye tujhe chhoo na paayein
jhilmil chaandni main chiddak doon zara
jheene se aanchal mein tujhe main sahejoon
moti seepiyon mein rahe jiss tarah
jhinguron ki sargamon se dhun bana ke mai
ghol doon hava mein ansuni si loriyaan
odhane ko taron se jada yeh aasmaa
tera maatha choom ke sunaaun mai tujhe
pariyon ki kahani jugnuon ki daastaan
kaale andhere ye tujhe chhoo na paayein
jhilmil chaandni main chiddak doon zara
jheene se aanchal mein tujhe main sahejoon
moti seepiyon mein rahe jiss tarah
jhinguron ki sargamon se dhun bana ke mai
ghol doon hava mein ansuni si loriyaan
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
