Video of this song from youtube
Madhuban Khushbu Deta Hai (Female) - मधुबन खुशबू देता है
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Madhuban Khushbu Deta Hai (Female) - मधुबन खुशबू देता है
madhuban khusbu deta hai
sagar sawan deta hai
jina uska jina hai
jo oro ko jeevan deta hai
madhuban khusbu deta hai
suraj na ban paaye to
banke deepak jalta chal
suraj na ban paaye to
banke deepak jalta chal
phul mile ya angare
sach ki raaho pe chalta chal
sach ki raaho pe chalta chal

pyaar dilo ko deta hai
ashko ko daaman deta hai
jina uska jina hai
jo oro ko jeevan deta hai
madhuban khusbu deta hai
sagar sawan deta hai
madhuban khusbu deta hai
chalti hai lehrake pawan
ke saans sabhi ki chalti rahe
chalti hai lehrake pawan
ke saans sabhi ki chalti rahe
logo ne tyag diye jeewan
ke preet dilo mein palti rahe
ke preet dilo mein palti rahe

dil wo dil hai jo oro ko
apni dhadkan deta hai
jina uska jina hai
jo oro ko jeevan deta hai
madhuban khusbu deta hai
sagar saawan deta hai
madhuban khusbu deta hai
lyrics of song Madhuban Khushbu Deta Hai (Female)
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films