Video of this song from youtube
Lyrics of Madine Ki Galiyon Se Aawaz Aayi, Mohmmed Ke Jalwo Se Roshan Khudai - मदीने की गलियों से आवाज़ आई, मोहम्मद के जलवो से रोशन खुदाई
adawat ko mohabbat, dushmani ko dosti di hai
arab ke noor ne, sare jaha ko roshni di hai
madine ki madine ki, madine ki madine ki
galio se aawaz aayi
madine ki galio se aawaz aayi
mohammad ke jalwo se roshan khudai
mohammad ke jalwo se roshan khudai
ha madine ki ho madine ki
madine ki galio se aawaz aayi
ha madine ki galio se aawaz aayi

teri har bat noorani tera paigam kurbani
mahakte geshuo wale
mahakte geshuo wale ha ha ji geshuo wale
teri duniya hai diwani teri
tu yar khuda dildar khuda jalwa hai tera
didare khuda darbar tera darbare khuda
darbar tera darbare khuda

ye do dosto ki hasi dosti hai
chupa hai koi koi jalwanuma hai
shariyat na roke mai saf kah du
shariyat na roke to mai saf kah du
khuda hai mohabbat, mohabbat khuda hai
azano se sari fiza jagmagaye
madine ki ho madine ki
madine ki galiyo se aawaz aayi
ha madine ki galiyo se aawaz aayi

ye dunia aani jani hai ,yaha har chiz fani hai
jo aata hai wo jata hai, jo jata hai rulata hai
safar me jindgani hai, adhuri har kahani hai
ye hasti ek dheraa hai, saray me basera hai
izzat shohrat daulat azmat aate jate saye
tere alawa shahe madina koi kam na aaye
o aaka koi kam na aaye data koi kam na aaye
maula koi kam na aaye

andhero ne ghera hai parda utha de
tere pas aaya hu rasta dikha de
tere pas aaya hu rasta dikha de
tere nam se sara aalam hai roshan
meri teera bhakti ko bhi jagmaga de
meri teera bhakti ko bhi jagmaga de
nafrat ki kali duniya me leke ujala aaya
maula duniya ke dukh dard mitane
kamli wala aaya, mera kamli wala aaya
tera kamli wala aaya
sabka kamli wala aaya
andher me jaise kiran muskurai
mohammad ke jalwo se roshan khudai
ha madine ki ho madine ki
madine ki galiyo se aawaz aayi
ha madine ki galiyo se aawaz aayi

chirage noor rabba ni allah
nahi tera koi sani allah
sahara besaharo ka allah
dilasa gum ke maro ka allah
hanima dai ke pale allah
arab ke bakario wale allah
juba kuran hai teri allah
shariyat shan hai teri allah

tere dar pe jo aaye wo tera ho jaye
chahe kaisi bhi aafat ho
us par aanch na aaye
jo tujhse lau lagata hai
khuda usko bachata hai
khuda usko bachata hai
tera majhab mohabbat hai
sharafat hai sadakat hai
auro ke liye jo jeeta hai
auro ke liye jo marta hai
wo sahibe iman hota hai
wo sachi ibadat karta hai

har gum ki dawa arman hai tera
har dil ka suku roza hai tera
ae shahe umag sartaje haram
teri bhi taraf ho chasme karam
jaha me hai roshan teri dilrubaai
mohammad ke jalwo se roshan khudai
ha madine ki ho madine ki
madine ki galiyo se aawaz aayi
ha madine ki galiyo se aawaz aayi
lyrics of song Madine Ki Galiyon Se Aawaz Aayi, Mohmmed Ke Jalwo Se Roshan Khudai
Comments on song "Madine Ki Galiyon Se Aawaz Aayi, Mohmmed Ke Jalwo Se Roshan Khudai"
POODY1111 on Thursday, February 14, 2013
BRILLIANT. THANX FOR UPLOAD!!!!!!
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Bambai Ka Maharaja (1980)
Raj Kiran, Sarika, Amjad Khan, Bindu, Kulbhushan Kharbanda, Shakti KapoorKishore Kumar, Asha Bhosle, Amit Kumar, Suresh Wadkar, AnwarAnjaanUsha KhannaShibu MitraIqbal SinghBambai Ka Maharaja at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type