Video of this song from youtube
Magar Jaane De - मगर जाने दें
screen shot of song - Magar Jaane De

4.00 - 4 votes
Lyrics of Magar Jaane De - मगर जाने दें
woh jo tha khwab saa
kya kahein jaane dein
yeh jo hai kam se kam
yeh rahe ke jaane dein

woh jo tha khwab saa, kya kahein jaane dein
yeh jo hai kam se kam, yeh rahe ke jaane dein

kyun na rok kar khudko
ek mashwara kar lein, magar jaane de
aadatan toh sochenge
hota yun toh kya hota, magar jaane de

woh jo tha khwaab saa, kya kahe jaane dein
yeh jo hai kam se kam, yeh rahe ke jaane dein

beeta jo beete na haaye kyun
aaye yun aankhon me
humne toh bemann bhi socha na
kyun aaye tum baaton me

puchhte jo humse tum
jaane kya kya hum kehte, magar jaane de
aadatan toh sochenge
hota yun toh kya hota, magar jaane de

woh jo tha khwaab saa, kya kahein jaane dein
yeh jo hai kam se kam, yeh rahe ke jaane de

aasaan nahi hai magar, jaana nahi ab udhar
mmm hmm

aasaan nahi hai magar, jaana nahi ab udhar
malum hai jahaan dard hai
wahi phir bhi kyun jaayein
wahi kashmakash wahi uljhane
wahi teesh kyun laaye

behtar toh yeh hota
hum mile hi na hote, magar jaane de
adtaan toh sochenge
hota yun toh kya hota, magar jaane de
woh jo tha khwaab saa, kya kahein jaane de
yeh jo hai kam se kam, yeh rahe ke jaane de
lyrics of song Magar Jaane De
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films