Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.25 - 8 votes
Raag Based Songs, Raga - Megh
Video of this song from youtube
Lyrics of Mahafil Me Bar Bar Kisee Par Najar Gayee - महफ़िल, महफ़िल में बार बार किसी पर नज़र गई
mehfil, mehfil me baar baar kisi par najar gayi
mehfil me baar baar kisi par najar gayi
humne bachayi lakh magar
humne bachayi lakh magar phir udhar gayi
mehfil me baar baar kisi par najar gayi

unki najar me koyi to jadu jurur hai
unki najar me koyi to jadu jurur hai
jis par padi usi ke jigar tak utar gayi
jis par padi usi ke jigar tak utar gayi
mehfil me baar baar kisi par najar gayi

us bewafa ki aankh se aansu chhalak pade
us bewafa ki aankh se aansu chhalak pade
hasrat bhari nigah bada kaam kar gayi
hasrat bhari nigah bada kaam kar gayi
mehfil me baar baar kisi par najar gayi

unke jamal-e-rukh pe unhi ka jamal tha
unke jamal-e-rukh pe unhi ka jamal tha
wo chal diye to raunake sham-o-sahar gayi
wo chal diye to raunake sham-o-sahar gayi
mehfil me baar baar kisi par najar gayi

unko khabar karo ke hai bismil karib-e-marg
unko khabar karo ke hai bismil karib-e-marg
wo aayenge jurur jo un tak khabar gayi
wo aayenge jurur jo un tak khabar gayi
unki najar me koyi to jadu jurur hai
humne bachayi lakh magar
humne bachayi lakh magar phir udhar gayi
mehfil me baar baar kisi par najar gayi
lyrics of song Mahafil Me Bar Bar Kisee Par Najar Gayee
Comments on song "Mahafil Me Bar Bar Kisee Par Najar Gayee"
nairnaik on Sunday, December 05, 2010
.. un ki waja e shuhrat un ki gayeki hai na k un ka look ... dekhna ho to kisi larki ko deko .. kisi hussan k paikar ko deko , kisi mehjabeen o nazaneen ko deko ..

inhe just sunoo .. umeed hai buri nahi lagi hogi meri baat
NNezman on Sunday, February 26, 2012
Ghulam Ali at his prime..his harmonium skills are unbelievable.. also accompanied by one of my favourite tabla artists.so underrated..his precision and application is phenomenal..
ahmadtaus on Tuesday, April 06, 2010
عمدہ پیشکش ہے ۔ ویسے غلام علی کا انداز ہے تھوڑا اوچھا سا۔ اسے صرف سنا جا سکتا ہے دیکھا نہیں
hrshenoy1 on Sunday, October 20, 2013
Sultanbhai, great many thanks. I am not a gazal fan but I thoroughly
enjoyed this song. Record quality is outstanding. God bless you and Ghulam
Ali saab.
vijay malhotra on Wednesday, July 04, 2012
this is a great love song from the greaest singer ghulam ali saab..beautiful lyrics,soothing music and meaningful taunts...just fantabulous!
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Naghma-E-Dil (Ghulam Ali)
Ghulam AliSaghar Siddiqui
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type