Video of this song from youtube
Lyrics of Maine Bhi Husn Ki Najaro Mein Jagah Payi Hai - मैंने भी हुस्न की नज़रों में जगह पायी है
maine bhi husn ki nazro me jagah payi hai
tum mile ho to mohabbat se bahar aayi hai
mere sine pe zara hath to rakh kar dekho
dil ki dhadakan ye nahi pyar ki shahnai hai
maine bhi husn ki nazro me jagah payi hai
tum mile ho to mohabbat se bahar aayi hai

ye hasi rup ye zulfo ke nashile saye
jaise bhar pur kayamat pe shabab aa jaye
ye hasi rup ye zulfo ke nashile saye
jaise bhar pur kayamat pe shabab aa jaye
rukh se parde ko zara der hata rahne do
tum ko dekhega vahi jis ki qaza aayi hai
rukh se parde ko zara der hata rahne do
tum ko dekhega vahi jis ki qaza aayi hai
mere sine pe zara hath to rakh kar dekho
dil ki dhadakan ye nahi pyar ki shahnai hai

dil to kya jan bhi mai tum pe luta sakta hu
zindagi maut ke parde me chhupa sakta hu
mujhe gam do ki khushi ab hai tumhari marzi
maine to ishq me mitne ki qasam khayi hai
mere sine pe zara hath to rakh kar dekho
dil ki dhadakan ye nahi pyar ki shahnai hai

ishq ki raah me sahil bhi hai tufan bhi hai
is me izzat bhi hai rusvai ke saman bhi hai
ishq ki raah me sahil bhi hai tufan bhi hai
is me izzat bhi hai rusvai ke saman bhi hai
meri jan dunia ke dar se na badal jana tu
kyon ki ab mil ke na milne me bhi rusvai hai
meri jan dunia ke dar se na badal jana tu
kyon ki ab mil ke na milne me bhi rusvai hai
maine bhi husn ki nazro me jagah payi hai
lyrics of song Maine Bhi Husn Ki Najaro Mein Jagah Payi Hai
Comments on song "Maine Bhi Husn Ki Najaro Mein Jagah Payi Hai"
RealMusicKing on Thursday, June 10, 2010
This is a pashto tune. Music director Ravi gave Talat only two songs. This one and an earlier gem "Sab kuchh luta ke hosh mein aaye to kya kiya".
Dee Thakore on Saturday, May 17, 2014
Vijay Kumar, a brother of Johnny walker, he couldn't make it big..after 7-8
movies.(kaun apna kaun paraya, dillagi, chalbaz, shaheed bhagat singh,
imtihan, jai ambe maa etc..Ravi ones used this tune in film: Mehendi
(1958)..bedaard zamana tera dushman hai to kya hai...(Lata/Hemant)
Bhupinder Pujji on Monday, June 29, 2009
beautiful lyrics by Great Shakil Badayuni and Ravi jion the music score and
Talat jee always at his best singing the fast song so well which he wud not
normally sing with his andaaz of ghazal singing at slow beat per minute at
the Best Melody
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Wanted (1961)
Vijay Kumar, Sayeeda Khan, Helen, Manorama, Nazir Hussain, Johny Walker, Shammi, Anwar Hussan, Dulari, N A AnsariAsha Bhosle, Mohammed Rafi, Talat MahmoodShakeel BadayuniRaviN A AnsariWanted at IMDB      Wanted at YouTube     |    Wanted at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type