Video of this song from youtube
Advertisement
Majboori Ke Mausam Me - मज़बूरी के मौसम में भी जीना पड़ता है
thumb coming soon

4.00 - 2 votes
Singer Music by Lyricist Actor CategoryGhazals Movie
Lyrics of Majboori Ke Mausam Me - मज़बूरी के मौसम में भी जीना पड़ता है
majboori ke mausam me bhi jeena padta hain
majboori ke mausam me bhi jeena padta hain
thoda sa samjotaa jaanam karna padta hain
majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

kabhi kabhi kuch is had tak
badh jaati hain lachaari
kabhi kabhi kuch is hadtak
badh jaati hain lachaari
lagta hain ye jeevan jaise, bojh ho koi bhaari
dil kehata hain roye
dil kehata hain roye, lekin hasna padta hain
majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

kabhi kabhi itani dhundhali
ho jaati hain tasveere
kabhi kabhi itani dhundhali
ho jaati hain tasveere
patta nahi chalta kadmon me, kitani hain zanjeere
paaon bandhe hote hain
paaon bandhe hote hain phir bhi chalna padta hain
majboori ke mausam me bhi jeena padta hain

ruth ke jaane waala baadal
tutne waala taara
ruth ke jaane waala baadal
tutne waala taara
kisko khabar in lamhon me, bann jaaye koi sahara
duniya jaisi bhi ho
duniya jaisi bhi ho rishta rakhna padta hain
majboori ke mausam me bhi jeena padta hain
thoda sa samjotaa jaanam karna padta hain
majboori ke mausam me bhi jeena padta hain
lyrics of song Majboori Ke Mausam Me
Comments on song "Majboori Ke Mausam Me"
Vaheed Haidar on Friday, September 19, 2014
patel ji bahuth shukriya...yeh gazal main salon se talash kar raha
tha...thank you
Advertisement
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
Advertisement