Video of this song from youtube
Man Bawra (Male) - मन बावरा
thumb coming soon

3.00 - 1 votes
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Man Bawra (Male) - मन बावरा
behka behka ye dil
kahne laga
mehka mehka sa ye
rahne laga
khwab jo dekha
mere dil ne
woh sach hone laga

saitaaniyan, badmaashiyan
khwabo mein aake koi karne laga
man bawra hone laga
teri hi batein karne laga
man bawra hone laga
teri hi batein karne laga

tanha, tanha main toh
rahne laga
jhoothi, moothi batein
karne laga
har pal sapna tera dekha
woh sach hone laga

gustakhiyan, naadaniyan
hardam main toh karne laga
man bawra hone laga
teri hi batein karne laga
man bawra hone laga
teri hi batein karne laga

chhote-chhote titliyon se
yeh poochti hoon
ye rang pyar ke
kahan se laate ho
lagta hai tum bhi
mili ho unse kahin
jisne choo liya hai
mere man ko

man bawra hone laga
teri hi batein karne laga
man bawra hone laga
teri hi batein karne laga
aankhein dekhne lagi
sapne kayi
tu mere kareeb hai bas
lagta yahi

aitbaar se tumko chahne laga hoon
sach kahta hoon, tu hai mera humnashi
man bawra hone laga
teri hi batein karne laga
man bawra hone laga
teri hi batein karne laga
lyrics of song Man Bawra (Male)
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films