Video of this song from youtube
Mera Kasoor Kya Hai - मेरा कसूर क्या
Lyrics of Mera Kasoor Kya Hai - मेरा कसूर क्या
dar dar ki thokro mujhe itna bata do
mera kasur kya hai mera kasur kya hai
dar dar ki thokro

bijli mere chaman pe firi hai to kisliye
itni badi ye saja mili hai to kisliye
mujhko to kuch khabar nahi tum hi kuch kaho
dar dar ki thokro mujhe itna bata do
mera kasur kya hai mera kasur kya hai
dar dar ki thokro

usne mujhe banaya tha apne gale ka har
mai uska eitbar thi wo mera eitbar
kyu aaj kah raha hai wahi dur jake ro
dar dar ki thokro mujhe itna bata do
mera kasur kya hai mera kasur kya hai
dar dar ki thokro

mera kasur ye hai ke mai bekasur
jiska gunah nam hai us saye se dur hu
fir kisliye ye hukam gunaho ke daag dho
dar dar ki thokro mujhe itna bata do
mera kasur kya hai mera kasur kya hai
lyrics of song Mera Kasoor Kya Hai
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films