Video of this song from youtube
Lyrics of Meri Zindagi Me Aate To Kuch Aur Baat Hoti - मेरी ज़िन्दगी में आते तो कुछ और बात होती
unki zulfe unke chehre se hataa saktaa nahi
dil ki betaabi kisi surat chhupaa sakataa nahi
kitni dilkash hai mohabbat ki javaan majaburiyaan
saamne mazil hai aur paanv badhaa saktaa nahi

meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
o kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
ye nasib jagmagaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti

kai baar mil chuki hai ye hasi-hasi nigaahe
kai baar mil chuki hai ye hasi-hasi nigaahe
vo hi bekrariya hai na mili khushi ki raahe
mere dil se dil milaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti

mujhe kyaa garaz kisi se hanse phul yaa sitaare
mujhe kyaa garaz kisi se hanse phul yaa sitaare
hai meri nazar me phike ye javaan-javaan nazaare
agar aap muskaraate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti

ye khushi rahe salaamat yun hi jashn ho suhaanaa
ye khushi rahe salaamat yun hi jashn ho suhaanaa
jise sun rahi hai duniyaa mere dil kaa hai taraanaa
mere saath tum bhi gaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
ye nasib jagmagaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
lyrics of song Meri Zindagi Me Aate To Kuch Aur Baat Hoti
Comments on song "Meri Zindagi Me Aate To Kuch Aur Baat Hoti"
RealMusicKing on Monday, December 20, 2010
Hello Yuan and thank you. I think this song is a wasteage of recording and filming. This tune also is not that great. It's a poetic tune used in Mushaira's (gathering of poets).
Ajay Bhuta on Thursday, April 30, 2015
One of My favourit Rafi saheb's song Meri Jindgi Kaun Aate woh Ek soch ne
Ki Bat Hai Jis se Ye Naseeb Jagmate To Kuch Aur Bat HOTI Thanks
muhammad kamran on Sunday, May 25, 2014
kitni dilkush ha mohbat ki jawan majboorian samany manzil hai or paoon
barha nai sakta. Rafi sb kya baat hai app ki. very nice song
Rajesh Menon on Tuesday, May 22, 2012
what a rendition...every single line demands a 'wah'...I paused at 'tho
kuch aur baath hote' at 2:39 - 2:44 and picked that one..because I am too
confused already which one to go for, for the ultimate 'wah'
Sonia Thind on Thursday, October 14, 2010
beautiful songs, nice movie, favourite actor n actress, hats off to
oldies...n many thx to Mahagedara2 for posting it on youtube...lov u
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Kanyadan (1969)
Shashi Kapoor, Asha Parekh, Sayeeda Khan, Om Parkesh, Dilip Raj, Achla Sachdev, Birbal, Bela Bose, Chandra Shekhar, Meena T, Tun Tun, LaxmiAsha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor, Mohammed RafiNeeraj, Hasrat JaipuriShankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai PankalMohan SehgalKanyadan at IMDB      Kanyadan at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type