Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.60 - 5 votes
Ghazals
Video of this song from youtube
Lyrics of Mujhko Yakeen Hai - मुझको यकीन हैं सच कहती थी जो भी अम्मी कहती थी
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
jab mere bachpan ke din the, chaand mein pariyaan rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab apnon ne bhi hamse naataa tod liyaa
ek ye din jab apnon ne bhi hamse naataa tod liyaa
ek vo din jab ped ki shaakhen bojh hamaaraa sahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab saari sadken roothi roothi lagti hain
ek ye din jab saari sadken roothi roothi lagti hain
ek vo din jab aao khelen saari galiyaan kahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab jaagi raaten deevaaron ko takti hain
ek ye din jab jaagi raaten deevaaron ko takti hain
ek vo din jab shaamon ki bhi palken bojhal rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

ek ye din jab laakhon gham aur kaal padaa hai aansoo kaa
ek ye din jab laakhon gham aur kaal padaa hai aansoo kaa
ek vo din jab ek zaraa si baat pe nadiyaan bahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyaan rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
lyrics of song Mujhko Yakeen Hai
Comments on song "Mujhko Yakeen Hai"
dantystudent on Tuesday, September 27, 2011
actually this ghazal has some HIDDEN MEANINGS which only some people may have understood. Poet is saying that his mother used to narrate to him the stories in his childhood wherein she used to claim that ' CHAND MAIN PARIAN RAHTI HAIN'. Now when the poet has crossed the age of childhood and entered in 'youth age', he sees everywhere 'GIRLS WITH THEIR BEAUTY' and he is tempted to think that his mother was right that when he was a child these 'parian' were on moon and NOW THEY HAVE COME DOWN...
punit kumar on Sunday, June 17, 2012
ek ye din jab laakhoN Gham aur kaal paDaa hai aaNsoo kaa -2 ek vo din jab
ek zaraa si baat pe nadiyaaN bahti thi mujhko yaqeen hai sach kahti thi jo
bhi ammi kahti thi jab mere bachpan ke din the, chaaNd mein pariyaaN rahti
thi mujhko yaqeen hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
mzahidirshad on Friday, November 12, 2010
This is first ghazal i heard when i was a teen and use to laugh at its
theme. And now when i am 27 why it made my eyes wet badly.!
Zhalaali110 on Sunday, October 23, 2011
ek ye din jab jagi rathee dewaroo ko tak thi hain .ek wo din jab sham hote
b palke bojal reti thi :'((( RIP Jagjit Sahb
positivethinker2050 on Saturday, December 19, 2009
Wow Excellent poetry n Excellent Voice kia awaz di he Khuda ne
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Silsilay (album) (2005)
Jagjit Singh, Javed AkhtarJaved Akhtar
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type