Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Nagma E Dil Ko Chhed Ke
4.53 - 19 votes
Kishore Kumar, JamunaRomantic Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Nagma E Dil Ko Chhed Ke - नगमा ए दिल को छेड़ के
naghma e dil ko chhed ke
hothon me kyun daba liya
naghma e dil ko chhed ke
hothon me kyun daba liya
kaise kahun main haale dil
tumne to sar jhuka liya
kaise kahun

kahna ye tha aaj hum
phool koi na chun sake
kahna ye tha aaj ham
phool koi na chun sake
gum hain tumhare pyar me
hosh kise jo sun sake
haye sitam ke gaal pe
zulfon ko phir gira liya
naghma e dil ko chhed ke
hothon me kyun daba liya
naghma e dil

mera to dil khil gaya dekhi jahaan jhalak teri
mera to dil khil gaya dekhi jahaan jhalak teri
meri nigaah jab uthi nichi huyi palak teri
palken nahin jhuki meri
inmein tumhe chupaa liya
kaise kahun main haale dil
tumne to sar jhuka liya
kaise kahun

mera jigar mera dil haan meri jaa tumhi to ho
mera jigar mera dil haan meri jaa tumhi to ho
chhota sa ek pyar ka mera jahaan tumhi to ho
humne tumhe to aapne apna humein bana liya
naghma e dil ko chhed ke
hothon me kyun daba liya
kaise kahun main haale dil
tumne to sar jhuka liya
kaise kahun
lyrics of song Nagma E Dil Ko Chhed Ke
Comments on song "Nagma E Dil Ko Chhed Ke"
Indu Puri on Sunday, September 01, 2013
naghma e dil ko chhed ke hothon me kyun dabaa liyaa naghma e dil ko chhed
ke hothon me kyun dabaa liyaa kaise kahun main haale dil tumne to sar
jhukaa liyaa kaise kahun kahna ye thaa aaj ham phool koi na chun sake gum
hain tumhaare pyaar me hosh kise jo sun sake hai sitam ke gaal pe zulfon ko
gira diyaa..mazrooh sahb ka jwab nhi.sitam ke gaal pe zulfon ko
giraane ka zikr wo hi kr skte the. bda pyara gana hai ji palken nahin jhuki
meri inmen 'ise' chupaa liya
Indu Puri on Friday, October 03, 2014
kitni mithas hai is geet me! waaaah! aur bol???
mera to dil khil gayaa
dekhi jahaan jhalak teri
meri nigaah jab uthi neechi i huyi palak teri
palken nahin jhuki meri inmen tumhe chupaa liya..wow kaun n mr mite iss
sadgi aur iss ada pr.. aur.dil se hm bharteey aurte aisi hain
bhi...aaj bhi. sachchiiii
Jagjit Singh Ishar on Wednesday, August 10, 2011
my salutes 2 chitragupt sahib 4 the sweet melodious composition. honey
sweet voices of lata g & kishor kumar. jamuna & kishor & the frolicsome
moments. thanx 4 sharing.
sanjayd411 on Sunday, August 14, 2011
ohh what a lovely melody...wah!
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Ek Raaz (1963)
Kishore Kumar, Jamuna, Pran, Lalita Pawar, Tun Tun, Mumtaz, AghaKishore Kumar, Lata Mangeshkar, Usha MangeshkarMajrooh SultanpuriChitraguptShakti SamantaEk Raaz at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type