Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.23 - 13 votes
Romantic Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Nazar Utha Ke Yeh Rangeen Sama - नजर उठा के ये रंगीन समां
nazar utha ke ye rangin sama rahe na rahe
karib aa ke ye mausam jawan rahe na rahe
zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe
nazar utha ke ye rangin sama rahe na rahe

karib aao to kambakht dil dhadakta hai karib aao
karib aao to kambakht dil dhadakta hai
kadam kadam pe koi jaise mujhko takta hai
ye raaz tere mere darmiya rahe na rahe
zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe
nazar utha ke ye rangin sama rahe na rahe

dilo me rang nigaho me roshni bhar le
dilo me rang nigaho me roshni bhar le
zara si der to bahon me zindagi bhar le
zara si der to bahon me zindagi bhar le
kise khabar hai ke hum kal yaha rahe na rahe
zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe
karib aa ke ye mausam jawan rahe na rahe

khile hai phool dilo ke khuli hawao me
khile hai phool
khile hai phool dilo ke khuli hawao me
basi rahegi ye khushboo sada fizao me
zamin rahe na rahe aasman rahe na rahe
zamana aaj hai kal meharban rahe na rahe
lyrics of song Nazar Utha Ke Yeh Rangeen Sama
Comments on song "Nazar Utha Ke Yeh Rangeen Sama"
Bhupinder Pujji on Friday, September 04, 2009
The most beautiful aspect of the music video song is the ART OF CREATIVITY
WHICH MY FRIEND KALKI IN LONDON HAS DISPLAYED BY CREATING THE BEAUTIFUL
EXPRESSIONS OF RAJKAPOOR AND NARGIS THE ACTORS WHOSE PARALLEL IN ROMANCE
YET TO BE VIEWED IN YEARS TO COME KALKI ON YOUTUBE IS KALKIKALYANI AND I
WILL REQUEST FOR HIS CONTINUED SUPPORT TO OUR SINGING EFFORST AND
REPRODUCING THE OLD GOLD MELODIES OF THE YEARS 50S-60S WHICH WAS A GOLDEN
ERA OF CREATIVE MUSICDIRECTORS WHO HAVE LEFT US WITH A VOID
Ahussain212 on Thursday, June 07, 2012
Bhupindersaab..very rare definately. Thank you once again. This is one of
the "only" two duets Talatsaab ever sang for Music Director C. Arjun and
Talatsaab's very last duet with Asha Bhosle Sahiba. The other was "Gham Ki
Andheri Raat Mein Dil Ko Na Beqarar Kar, Subah Zaroor Aayegi Subah Ka
Intezar Kar" sung with Rafi Sahib and penned by Jan Nisar Akhtar from film
Susheela - 1963. Regards.
Bhupinder Pujji on Sunday, September 06, 2009
Very appropriately done the video on Nargis Rajkapoor and the clip is
totally covering the script lyrics of the song with some movie visuals let
us all join hand to commend the role of Kalki for making the song more
interesting to the listeners members of the youtube
Bhupinder Pujji on Friday, November 29, 2013
film was ek saal pehle music scored by c arjun recorded 1961 by talat
mahmood and asha bhonsle re sung by bhupinder pujji with pavitra thanksto
kalki in london who made this vdo for us on the u tube many thakss to the
viewers viewed1187 times 
Indu Puri on Sunday, September 01, 2013
nazar utthhaa ke ye rangeen samaa rahe na rahe kareeb aaa ke ye mausam
jawaan rahe na rahe zamaanaa aaj hai kal meharbaan rahe na rahe.waaah!
bda pyara gana select kiya hai aapne veerji! aur gaayaa bhi pyara
hai...kahin besure nhi hue. jiyo jiyo
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Ek Saal Pehle (1965)
Sujit Kumar, Saeeda Khan, Asit Sen, Helen, K N Singh, Jagirdar, Madhumati, Mohan ChotiAsha Bhosle, Talat Mahmood, Suman Kalyanpur, Kamal BarotJan Nissar AkhtarC ArjunDharam KumarEk Saal Pehle at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type