Video of this song from youtube
O Ri Akhiyaan - ओ री अखियाँ
Lyrics of O Ri Akhiyaan - ओ री अखियाँ
o ri akhiyaan teri batiya kaise men samjhaun
andhi ratiyon ko men kaise bhor talak lejaun
dopahar men din hai dooba mann ko kya batlaun
khwaab ka dhaaga hai uljha kaise men suljhaun

ret jaise haath men se fer gir tu sa hai
saansein si thi saath mere aur woh kho gaya sa hai
mujhse tu kho gaya sa hai ret ki tarah gir gaya sa hai

o ri akhiyaan tori batiya kaise men samjhaun
andhi ratiyon ko men kaise bhor tak lejaun
aankh men se aansu banke khwaab chan men bujha sa hai
roshni thi jis jagah pe ab wahan pe dhuaan sa hai
khwaab chan men bujha sa hai aankh men ab dhuaan sa hai

o ri akhiyaan teri batiya kaise men samjhaun
andhi ratiyon ko men kaise bhor talak lejaun
dopahar men dooba hai din mann ko kya batlaun
khwaab ka dhaaga hai uljha kaise men suljhaun

aasmaan bhi hai pareshan aur zameen bhi pareshan hai
rut yeh kaisi hai ke jisme har koi hi pareshan hai
aasmaan bhi hai pareshan
aasmaan bhi hai pareshan aur zameen bhi pareshan hai

swapna hai sab keh ke kaise sach ko men jhut laun
o ri akhiyaan teri batiya kaise men samjhaun
andhi ratiyon ko men kaise bhor talak lejaun

dopahar men dooba hai din mann ko kya batlaun
khwaab ka dhaaga hai uljha kaise men suljhaun
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films