Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.00 - 1 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of One Rupee Ten Rupees - वन रुपया टेन रुपीज
om bhakti rupi
shakti rupi, mukti rupi
one rupee, ten rupee
hunderd rupee, thousand rupee
om shanti om shanti
om shanti shanti shanti

ho jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
ha jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
ho jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
hey jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki

vishnu bhagwan ko bhi to lakshmi lagti hai pyari
dhanwano ke kadmo par jhukti hai duniya sari
daulat wala kahe to jannat ka dwar khulega
chahe dhanwan agar to aake bhagwan milega
daulat wala kahe to jannat ka dwar khulega
chahe dhanwan agar to aake bhagwan milega
abhimaan me tum daulat ke
insaan ko yu na girao, daulat ki puja kar ke
bhagwan ko yu na girao, abhimaan me tum daulat ke
insaan ko yu na girao, daulat ki puja kar ke
bhagwan ko yu na girao, o kahte hai jisko mehnat
naam usi ka kismat
taaj aur hai janta mehnat ki hi murat
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki

o kahte hai jisko mehnat
naam usi ka kismat
taaj aur hai janta mehnat ki hi murat
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki

bhakti rupi, shakti rupi
mukti rupi, one rupee
ten rupee, hunderd rupee
thousand rupee
shanti shanti shanti

nirdhan seva ke liye hai
seva hi karte rahenge
ha dhanwano ki chaukhat par
maatha hi ragadte hi rahenge
pee pee kar khum humara
daulat wale akade hai
mehnat ki buniyado par
daulat ke mahal khade hai
pee pee kar khum humara
daulat wale akade hai
mehnat ki buniyado par
daulat ke mahal khade hai
sare kal karkhane dhanwano ne banaye
agar dhanwan na ho
kaun roti khilaye
sare kal karkhane dhanwano ne banaye
agar dhanwan na ho
kaun roti khilaye
kaha se aayegi roti
hum jo hal na chalaye
kaha se aayenge kapde
hum jo mil na chalaye
daulat wale khate hai
mehnat walo ki kamai
humne dhanwan banaye
humko hi aankh dikhai
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki

kahte hai jisko mehnat
naam usi ka kismat
taaj aur hai janta mehnat ki hi murat
jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
lyrics of song One Rupee Ten Rupees
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Haisiyat (1984)
Jeetendra, Jaya Prada, Pran, Rohini Hattangadi, Shakti Kapoor, Viju Khote, Jay Shree T, Kader Khan, Raza MuradAsha Bhosle, Kishore Kumar, Vijay YesudasIndeevarBappi LahiriNarayan RaoSrikant NahataHaisiyat at IMDB      Haisiyat at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type